Yuhi, uski yaad mai

 Uske hararat bhare kadam,

Uski jhoothi baate ,

Ab tavasum ke chadar mai,

Nigahe fer leti hai,

Vo paas aakar, 

Door jana chah rha tha,

Din bar din,

Uska andaz hame sata rha tha, 

Uski kashmakash ,

 uski aarzo ,

Ka gala ghot gyi,

Ab vo nazdeek aana chah rha hai,

Intazar ka aalam

Mansubo ki kaifiyat mai,

Karha rha hai,

Jannat aur jannhaum,

Ek se lagte hai ab to use,

Kyuki mohabbat chahat ko dafan karke uski,

Kagazo par hararat ko usi ke lahu se,

Uski mahbooba ko kisi aur ke sath ,

Muskurata hua nazar aa rha hai,


Kaise , kya , kyu, kha, kiss liye, 

Ye sab bekar aur bardbad baate hai,

Ishq hai to fir se janab dhorate hai,

Ki ab uski Dhadkan aur dil dono,

 uski mahbooba ke paas rakhe jate hai,

Bas farak itna hai, 

Pahle unki sambhal thi,

Ab Mahboob kudh sambhal nhi paa rha,

Pahle unki kadar thi,

Ab mahboob bekadri ke aalam mai hai ,

Shok ke geet gaa rha ,

Pahle mahbooba ko mahboob se mohabbat thi,

Aur ab mahbooba ka haath kisi,

Aur chahne vale ke haath se hai,

Takra rha. 


Leeza

Comments

Popular Posts