kuch to Hui hi Mai !(bhale hi vo na sahi)
Bejan si Jan huu,
Janazo ka betal hui,
Shamshano ke raste Mai aai
Aakhiri murda ki khak hui,
Pehchan Hui
Bin kahe kaseede
Bin sune barrhali
Bin roye ruyase
Aur bin jane ho jane vali galtfahmiyo ka sailab Hui
Kash bhi Hui kashish bhi mai
Kalam bhi Hui kagaz bhi mai
Kasab bhi Hui koshish bhi Mai
Kangal bhi Hui aur kabil bhi Mai
To kaun Hui mai?
Kya Hui mai?
Kyu Hui mai?
Aur kiske liye Hui mai?
Ha tumhari bhi hui,Uski bhi
Bhukhe ki roti mai, rayees ka bhugtan Hui
Berang ki basuri mai, to khoobsurat ki khaishwahat Hui
Uski aankho ka ashq Mai , aur tumhari ruh ke aakhiri ansh ka paigam hui
Nhi vo nhi Hui Mai
Par vo to Hui
Nhi maksad nhi Hui Mai
Par safar to hui!
Ha tumhara aaj nhi Hui mai,
Par tumhara kal to hui,
Nhi vastvikta nhi Hui mai,
Par bhram to hui!
Muskan nhi Hui Mai
par ruyasa to Hui
Vidwan nhi Hui Mai
Par gawar to hui!
syahi nhi Hui Mai
Pae shabd to hui
Ha Teri mahboob hargeez nhi hui mai
Par mashre mai teri maryada to hui!
Written by
Hui kaun mai?
Comments
Post a Comment