Ishq aur aarzo , ikatafaq aur shukr
Ishq aur aarzo , ikatafaq aur shukr,
Samandar ke par , manzilo ki majhdhar mai,
Ishq ka falsafa , jala ikatafaq ki aag mai,
Andar ka bawandar, bahar ke sailab mai,
Begairati aur bewafai ke swab mai,
Chashmo chirag mai,
Faut hue khwab sare,
Andeshe hue nakab se .
Sal dar sal , harfe har filhal,
Kash aur kahsmakash ki missal ,
Bikhare mohtarama ke bal,
Niyat ki chot , chandani ka chand ,
Ishq aur aarzo ki daud mai,
Ikatafaq hua barbad .
Ikatafaq ka aakhir kya kasoor tha?
Uspar kiska udhar fizool tha?
Vo to yuhi , yuhi mai hogya,
Usme uska kaunsa farz ,
maut ki manzil mai shumar hokar kho gya?
Najane – anjane ki bhool mai,
Vo to lakeero ka bhi na pabandh tha ,
Ishq aur aarzo ki kashmakash mai,
Ikatafaq hi aakhir kyu ul jalool tha?
Jab aankh ke andhe , akal ke bhi andhe bane ,
to kya insan – insan rah jata hai?
Ya iss ikatafaq bhare mashre mai,
Uska kadd bhi siyah ho jata hai?
Jaan upar vala bachae,
Chahe ham faut hone ko lage rhe ?
Karam upar vala kare?
Chahe ham had haram bane rhe ?
Akal upar vala de?
Chahe ham uspar pathar fekte rhe ?
Upar vala sabra aur tahammul de,
Chahe ham besabre bane rhe ?
Upar vala acha kare,
Chahe ham kudhke aur dusro ke sath bura karte, thake bhi na?
Upar vala himmat de,
Chahe hamari himmat kuch karne se pahle hi jawab de jae?
Allah naseeb ache karein?
Chahe ham takdeer tabah karte rhe?
Upar vala sab kuch de,
Par ham nashukre bane rhe ?
Kosate- kosate, deen aur ibadat se door,
Duniya mai khokar, tum sukoon chahte ho?
Ikatafake aazmaish ke badale,
tum kharab takdeer ka rona lagate ho,
chahte tum sab kuch ho,
dete tum kya ho?
ishq aur aarzo ki bukhe insan,
tum ikatafaqe insaniyat ka hukoob chahte ho,
tanha rahne ke mutalbo mai ,
tum shekhi apni bagharte ho,
sukoon tumhe usme bhi nhi hai,
kyuki shukr tum khairaat mai , kabhi kabhar dohrate ho.
Isliye kahti hui insan,
Insan ke khopdi mai baithe shaitan
Ikatafaqe jab tum besukooni ki takdeer se nikloge,
Tabhi to tum shukre rahmo karam faramoge ,
Upar vala tumhe chahe akal ka thoda andha bana bhi de ,
Par tumhare deen se anjan na rakhe ,
Insaan hi banae rakhe,
Aur insaniyat ka ahsas bhi rakhe,
ikatafaqe aarzo hi sahi,
namukkamal kabhi kabhar hi sahi.
LEEZA
Comments
Post a Comment