MAI BARBAD THA , PAR AAJ KALAKAR HUI

MAI BARBAD THA , PAR AAJ KALAKAR HUI

 

Darakhto ke darwazo mai ,

Band kundho ke kiwaro mai,

Ashq bandisho ke,

Ishq hasraton ke

Aur alfaz khamoshi ke ,

Parinde , paar hai ya bezar hai ?

 

Kya ishq ek vyapar  hai?

Meri mohabbat ki kaunsi Sarkar hai ?

Meri tabahi ki kis- kis ko darkar hai ?

Meri  hasti to aaj bhi murdo mai shumar hai.



 

Fanha hokar bhi mai , aazad hui,

Tere khali sundooko ka , mai hi to raaz hui,

Tere kaan ke peeche takne vala, gulab sa katedar hui,

Fakat bhi mai hui, faryad bhi , aur faut bhi.

 

Tere pagalpan ka pashchatap hui ,

Tere karano aur kayado se mai aazad hui,

Teri zabardasti ki santan hui , belagam hui,

Fanha hone ko tyar , fanha hone se pahle bhi barbad hui ,

 

Jal uthane ki kaifiyat ke par hui,

Jalta ubalta , bikharta – khali khak , bin ma-baap hui,

Akela  tha,  akela hui, isliye hi to , itna bebak hui,

Fakat se fakat tak , teri chah ka gulam hui,

 

Anath hui, dhokhebaz hui, upar vale ki bhool,

Tumhari bechaini ka aakhiri alfaz hui,

Mai barbad tha, mai barbad hui,

Tumhare  ishq ke junoon mai, kankal hui,



 

Kya mai ishq ka vyapar hui?

Kya mai mohabbat kar bekar hui?

Kya mai tumahare karan hi bemaar hui?

Kya mai tumse juda hokar aur barbad hui?

 

Mai to barbad tha , aur ab beparvah bhi hui

Barbadi ke raste mai , badhta chalta

Apni maut ke intazar mai hui,

Udata firta, girta sambhalta, lachar hui,

 

Teri mohabbat ka mariz ,

Muntashir teri ruh ka ,

Aks mai mile tere apnepan ka shukarguzar hui,

Bin kahe, teri sanso ka , mahfus- gar hui,

 

Bebas hui, bekar hui,

Barbadi ki rah mai, mai bardadi ka nakshedar hui,

Faut hone ko tyar hui,

Teri mohabbat ki aas mai, mai besabr ab nhi,

Kyuki ab to mai tyar hui,



 

Iss pagalpan ke peeche – aura age ,

Mai maut ko apna aakhiri maksad banata ,

Mar jane ko tyar hui,

Uss akhiri umeed sa , asardar hui

 

Par janta hui ,

Maine ishq bachne ke liye nhi, fanah hone liye chuna tha,

Maine mohabbat ka khwab thamne ke liye, barbad hone ke liye  buna tha,

Maine ye likhne ki syahi tumhari aankho ke samndar se churayi hai,

Isliye mai apni aakhiri sans ke liye tumhara karazdar hui,

Apne ishq ki aag mai mitti tel chidhakata ,mai tumhara gunehgar hui ,

Iss sitam ki basti mai , tumhari uttapati se paglaya  hua ,

Mai bardad tha , mai barbadi ki rah par , tumhare ishq mai,

Pura pagal hone ke bavjood bhi, pure pagalpan se zyda bezar hone ko tyar hui.



 

Mai aakhiri tha , mai aakhiri hui,

Mai ant tha , par ab antim hui,

Mai ishq nhi tumhara  ,  mai ishq nhi uska

Mai Jeevan ke janam se mrityu ke maran tak, aur uske bhi paar  

Dayro aur kiwaro ka vidrohi ,

Aag mai badhta , par baat mai katata

Kabr mai zinda, par kamre mai murda ,

Kalakar hui ,

Kalakar hui,

Tabhi to bekar hone ke bad bhi aur barbad hui,

Mai ek insan ke shareer mai kaid ,

Rachna aur vidroh se aasakt ,

Kalakar ki ruh se peedit ,

Upar vale ki eksabse barbad banawat ki ,   missal hui,

Hui to pagal mai, par log kahte hai kamal hui.

 

 

LEEZA

 

 

 


Comments

Post a Comment

Popular Posts