ATEET KE ATAYACHAR
Log chale jate hai ,
Log aksar udati dhool ki tarah aage badh jate hai ,
Par peeche chodh jate hai itihas ke vo cheete ,
Jo kai bar itihas ke dhabbe bankar unn rato ko vapas laut aate hai,
Jinke bare mai firse sochna maut ko gale lagane sa hai
Mai kai bar unn rato se guzari hu par mai kabhi firse sochti nhi hu
Dohrati nhi huu , shyad mai bhag rhi hu , khudhse ,
ya unn sabse jinhone mujhe chodh diya aur mai kitni kamzor hu ki mai kisi ko chodh nhi pati ?
itihas ke atyachar doharane se aap apne bhavishya ka narsanghar kar dete hai ,
halaki mai itihas premi hu aur meri ruchi hamesha itihas ke vyagtigat sach ko kahne mai rahi hai
par kitni bar sirf chup rahna ,peeche mudkar na dekhna , nam aankho se aage badhna hi ,aur badhte chale jana
hi aapke vartaman ko bacha sakta hai
par ye karne mai jaan jati hai ? dam ghutata hai ,na?
tum jitni bar itihas par malal karoge , vo atyachar firse dohre roop se cheekhege , vo jor ki cheekhe Dheere hongi ,
par unka fusfusana nhi thamega , tumhara mann Karega unke peeche bhagne ka , ye tumhara vyagtigat dosh nhi hai
ye manushya ke vyavahar ka vastvik ang hai , sirf ek sach hai , vo hai vartman
aur aaj jo tum ho vo tum apne ateet ke karan ho , ye yad karna , par jab jab vo ateet tumhare mastiksh par havi hone lage ,
uska sanduk bistar ke neeche khiska dena , apne upar kiye gye atyacharo aur anyay ko mastiksh ke aaspas rakhna
par apne andar mat thehrne dena , unhe apne andar ghar mat karne dena ,
kabhi kabar dukhi hojana ,par peeda ki sharan lekar , peedit mat kahalana
vakt bevakt Sanjeeda hojana , par matr dukh ka ek geet bankar mat rahjana
janti hu tumhari vyatha bahut aseem hai , ateet ke kante tumhe aaghat pohuchate hai
par daya karo khudhpar , daya karo unpar jinhone tumpar atyachar nhi kiye ,
jhanko apne antar man ke uss kone mai aur kudh ko maaf karo,
apni peeda se kudh ko aazad karo, agar bhag ke bach sakte ,to bach jate
ye vyatha antarik hai, ya to tum isase vivek lo ya lo jeevan bhar ka varaigya prem se?
chunav tumhara hai, ateet ke ukhade khambe ya bhavishya ki aneeshchit anveshna.

Leeza
Comments
Post a Comment