AAZADI KE DAAYRE
Kitni aazadi se ham sab apni hado mai kaid hai?
Ho sakta hai aapki hado ke dayre ka ghera bada ho,
Par kaid to aakhir kaid hi hai
Koi khuli kaid mai to koi kaskar jakda hua hai un kiwaro ke kinaro par jaha kursiya atak jaya karti hai
Aur fir aap baat aazadi ki karte hai.
Aazadi ka astitv to tarasdi mai niyukt hai
Aur barbadi ki chingari se aap dar dar sarakte hai
Mukti ki talash mai, aap maaulikta ka libas odhte hai,
Ye jante hue ki aapki aankhe aapki ma si hai aur zuban aapke pita si
Agar aap unke nakshe kadamo se hatate hai to aap vidrohi hue
Vastavik ya kudh ki parambhik upaj nhi
To kisase darte hai, ek sa hone se ya alag hone se?
Puri tarah aazad hone se ya puri tarah kaidgrast hone se?
Buniyadi to vo pathar bhi nhi hai jikski aap apne mandir mai lagaakar puja karte hai
Aazad to vo musafir bhi nhi jo khoj rha hai apni anveshna
Jab vo apni khojne ko karyarath rhata hai to kai auro ki jholo mai bhar leta hai
Aur kahi agar vo safar mai mar mara jae, to apne parivar ko na sahi par apne shubh chintako ke 2-4 aasu to bahata hai.

To nijad tum pa kisase rhe ho kaid se ya khudh se?
Ya sansar ke har uss shaks se jo tumse juda hai?
Aur chale ho agar ye sir anzam lekar ki maulikta hi mukti hai,
To bhool jaao aazaadi ka sunehra khawab
Kyuki kaun hua hai aazad?

Maut se pahle vo bhi jeevan ke sath?
Kitni aazadi se ham sab apne dayro mai kaid hai?
Aur kitni zor se ham vaha se bhagna chahte hai vo aazadi nhi, Nihatha pan hai
Aur aazadi, vo to dusre lok ki sankalpana hai
Manushya kargar hai to bas kaid rahne mai
Vicharo ke alava manavjati ka jeevan matr ek kalkothari mai saza katne sa hai.
Ab Buddhijeevi kahenge ki " Hame aazad karo, hame kudh ki khoj karne safar par nikalana hai"
Aazadi sirf vicharako ki hai, vichardharo ki nhi
Aazadi sirf mansik hai, sansarik nhi
Aazadi ek upaj hai peedhi dar peedhi ki
Jo kaid rahne se darti hai, aur aazad chodh dene par har nihathe par var karti hai
Aazadi nhi hai dusro ki aazadi chheen lene mai
Aur Aazadi hargiz nhi hai, dharti jaise grah par janam lene mai.
To kyu liya aapne janam?
par kya aapse pucha gya tha?
To aap yaha bhi aazad nhi ho pae?
Jaise ki maine kaha tha kaun hua hai aazad mrityu se pahle, vo bhi jeevan ke sath?
Jo hue vo bhi mastiksho mai hue,
Jo na hue vo bhi mansik apanagta ke mare jeete jee mare,
Isliye to manushya jeevan bada maryadit hai
Jaha ham na dusro ko aazad hone dete hai na kudh ko aazad chodhte hai
Na ham dusro se virag chahte hai na kudhse lagav
Chahte hai to bass aazadi
Par sawal nhi puchte ki aazadi ka lagan kitne byaj par milega?
Aur jab ye jan jate hai.
To aazadi ke sunehra khawab ke sath samjhauta karke
Pura jeevan karavas mai katate hai

Aatam chetna ke shamiyana jalane hai
kudh tak pahuchne ke safar se pahle hi laut khade honge
Aur ye karay bhi agali peedhi par daldenge
Aazadi sirf vicharako ki hai, vichardharo ki nhi
Aazadi sirf mansik hai, sansarik nhi
Aazadi ek upaj hai peedhi dar peedhi ki
Jo kaid rahne se darti hai, aur aazad chodh dene par har nihathe par var karti hai
Aazadi nhi hai dusro ki aazadi chheen lene mai
Aur Aazadi hargiz nhi hai, dharti jaise grah par janam lene mai.
To kyu liya aapne janam?
par kya aapse pucha gya tha?
To aap yaha bhi aazad nhi ho pae?
Jaise ki maine kaha tha kaun hua hai aazad mrityu se pahle, vo bhi jeevan ke sath?
Jo hue vo bhi mastiksho mai hue,
Jo na hue vo bhi mansik apanagta ke mare jeete jee mare,
Ham sirf itne hi aazad hai ki ham jeete jee na mare
Aur jiss din ham mare, uss din koi agar avasad na karein.
To kya manzoor hai hame marne ke bad bhi aisi aazadi ki hamare marne ke bad koi anurag se yad hi na kare?

Kare to bass virag, na kare lagav,
Nahi hai na manzoor.
Isliye to manushya jeevan bada maryadit hai
Jaha ham na dusro ko aazad hone dete hai na kudh ko aazad chodhte hai
Na ham dusro se virag chahte hai na kudhse lagav
Chahte hai to bass aazadi
Par sawal nhi puchte ki aazadi ka lagan kitne byaj par milega?
Aur soot samet kaise chukaya jaaega?
Aur jab ye jan jate hai.
To aazadi ke sunehra khawab ke sath samjhauta karke
Pura jeevan karavas mai katate hai
To jab karamkandio se pucha gya, ki kya tum ishvar mai mante ho?
To ve bole, " Sawal to sahi puchiye pahle? "
Tab buddhijeeviyon ne unse pucha ki "kya ishvar hamame manta hai?"

To jawab mila ki ab "ham aazad nhi, aanath hai !"
Ishvar ne manavjati ko tyag diya , janam aur mrityu ke chakarvyuh ke beech use apnane se aswikar kiya,

Ishvar ne insaniyat ki aahuti chadha di, jabse insano ne prakaritye samavanjasyo ki bali di hai,
Aur yahi ab hamara anant karavas hai!
To ek budhijeevi bola, to kya ham ishvar ke hatyare hai?
To dusra bola, nhi ham to ishvar ke uttaradhikari hue na?
Teesre ne fir ek prashan kiya,
Aur jeevan roopi visham karam karavas aage badha,
Na koi aazad hua, na kisi ko anurag hua, trasadi ka intezar hua, aur ant ka besabri se intzaar hua ,
Par jeevan na ant hua, na antim vakt aaya insaniyat ka
Insan bad se baddtar hua, ishvar ka mrityu se sangam hua,
Chakrah chale mrityu aur janam ke kai bar, par manav kabhi na manav sa hua.
Jab bhi hua kuch, to insan ka insani hawainiyat se hashar nashar hi hua
Jab bhi hua " aazadi ke dayro mai, anatho ka jalsa sa hua"
To ishvar ko kiya gya yad, aur fir dohraya gya vahi swal, "ishvar ne hame kyu thukraya?
Ishvar ne hame janam dekar kyu lavaris banaya
Aur yahi bana- sansar ke nirmata ka manvjati ko diya gya sabse bada abhishap !
Kabhi na khatam hone vali ek anant karavas!
Dhanyavaad
Leeza
Comments
Post a Comment