ATEET KE ATAYACHAR
Log chale jate hai , Log aksar udati dhool ki tarah aage badh jate hai , Par peeche chodh jate hai itihas ke vo cheete , Jo kai bar itihas ke dhabbe bankar unn rato ko vapas laut aate hai, Jinke bare mai firse sochna maut ko gale lagane sa hai Mai kai bar unn rato se guzari hu par mai kabhi firse sochti nhi hu Dohrati nhi huu , shyad mai bhag rhi hu , khudhse , ya unn sabse jinhone mujhe chodh diya aur mai kitni kamzor hu ki mai kisi ko chodh nhi pati ? itihas ke atyachar doharane se aap apne bhavishya ka narsanghar kar dete hai , halaki mai itihas premi hu aur meri ruchi hamesha itihas ke vyagtigat sach ko kahne mai rahi hai par kitni bar sirf chup rahna ,peeche mudkar na dekhna , nam aankho se aage badhna hi ,aur badhte chale jana hi aapke vartaman ko bacha sakta hai par ye karne mai jaan jati hai ? dam ghutata hai ,na? tum jitni bar itihas par malal karoge , vo atyachar firse dohre roop se cheekhege , vo jor ki cheekhe Dheere hongi , par unka fusfusana nhi thamega ,...