Jab aag lage tan mai

 jab aag lage tan mai


fool ki nami ko kachotne vali aasha ka dusra pahar,

dopahar ki adhoori aarzo par har roz kyu so jata hai?

intazar ka aangan fitoor ki chadar liye baitha rat bita rha hoga,

fir bigade chaman ki alam giri baton ka sitam bankar, ye kis gali chala jata hai?


jab aag lage tan mai , to man hi manav ka swami ban jata hai,

jab aag lage tan mai to, to pardo ke piche sirf pichre nazar aate hai,

jab aag lage tan mai to, to Sara kasoor madarso mai padhane vale peero ko kyu diya jata hai?

Jab aag lage tan mai, to har dosh ka danav ravad ki Lanka ki lasho ki sooli par latkata hai, 


vichitr vajrapat ki unmukt bediya,

kasbo ki chot mai aaj chand ki chandani ke  saundraya ko kha gyi,

sare sansar ka purana pitara, janazo ke hukan par bhi ab kaha ashk bahate hai?

humayun ki vakt ki banjar zameen, akbar ki yad mai, babur ko hi to kasoorvar thahrati hai.


jab aag lage tan mai, to mastishk kaha sair karne jata hai?

jab aag lage tan mai, to ek mareez ki misal ka usase kya hi nata hai?

jab aag lage tan mai, to andhere kue mai roshni kaun lata hai?

jab aag lage tan mai, to sau kror kisso ke bare mai likhne vala lekhak bhi, 

ant mai bejan lashon ka falsafa padhte padhte maut ke ghat utar jata hai.

Comments

Popular Posts