MAI KYU LIKHTI HUI?

Mai kyu likhti hui?/Why do i write?
I write , I write, I write to sizzle my way out of the hat that i never wore in the skies of sharks to rummage the shimmers in the shelf. I write sometimes so i can sleep well, sometimes so i can have something to read to everyone, sometimes from the external pressures of the world but mostly from internal will to dissect the truth in a way about how I feel it in more than one way. 

The classics catalystic behind " Mai kyu likhti huu? " Aur mai kyu likhna band nhi kar sakti kyuki mai sochti hui aur sochti hi nhi balki vichar karti huu, kis par, sab par, tumpar, apne par, iss duniya par aur uss mrityu ke baad na hone ya hone vale jeevan ke vichar par, uss gilhari ki rozana ki bhag daud bhare jeevan par, uss dukandar ke rozammara ke ubaau jeevan par, apne coffee ke teesre cup ki kismat par aur apne desh ke bhavishya par. Par fir bhi mai itna sab likhkar bhi bhavishyavaani nhi karti kyuki mai bhavishya vakta nhi balki bhavishya karta banana chahti hui jabki asal mai mai kalam aur syahi ke kagaz ke sath khel mai hi adhik vyast aur santusht ho jaati hui.
Mai likhne ke liye nhi likhti par kahne ke liye likhti huu, kya kahne ke liye?

 apna ateet , apne vartman mai aur , mai dikhane ke liye nhi likhti, par banane ke liye likhti hui, kya banane ke liye? apna bhavishya banane ke liye, vartman mai, mai jaagne ke liye nhi likhti, par shanti se sone ke liye jagte vakt likh leti hui, kyuki mai shayad apne astitva ka ek hissa unn kagazo par kayam kar dena chahati huu jo hamesha kala ki nhi balki kabhi kabhar "KAHANI" Ki bhi bhukhi hoti hai isliye mai hameshaa usme kuch rachnatamak hi nhi likhti par kaafi bar vo bhi likh jaati hui jo akasmaat Karan hai mere vajood ka. Vo vajood jo sabse juda hai, mera vajood tumse aur tumhara uss kagaz se aur  uss kagaz se uss kalam se aur jiss kitab ka vo kagaz hai uska mujhse.


Mai kabeer ki tarah kayamat se kayamat tak likhne ka hunar hargiz nhi rakhti par mai ek mumuli se vyakti ka vkatitv zaroor rakhti huu, jisko likhna uska kartavya nhi balki kalapana lagti hai. Jo mai kar nhi paati kabhi vo likh deti hui, jo kah nhi paati kabhi vo likh deti hui, isliye nhi ki mai asaksham hui, par isliye kyuki mai vastv mai matr ek kagaz par chalta kalam Hi huu, kabhi dheere kabhi tez gati se . Mai isliye nhi likhti taki meri lekhaki ki tareef poori duniya kare par isliye likhti hui jisase ek insan padhkar, uske ek vakya par ruke  aur use firse padhe aur uspar vichaar kare aur uske aur mere vyaktitv ke parspar sambandh ka gathan kare, jabki hamari mulakat kabhi na hui ho , aur mulakaato mai rakha hi kya hai? Jo iss maksad mai rakha hai ki ek vichar matr ek vakti par hi prabhav dale par yu dale ki chahe mai use ytharth mai kah ya kar na paau pr vo use apne jeevan mai kardikhaye aur char logo ko kah sunaye.

Mai sirf likhne ke liye jeena chahti hui, vo likhne ke liye jo log sunanan chhate hai aur ek dusre se kahna chahte hai par kah nhi paate? KYA? Shayad kuch bhi ya sab kuch! Mai jeene ke liye nhi likhne ke liye jinda hui . Mai ek lekhak huu, mai mrityu se nhi darti, balki insan ke na vichar karne ke khayal se bhavheen hokar bhaybheet ho jaati huu, kyu? Kyuki mai ek vakti hui aur vichar karna uski prakrti hai. To ab pta chala mai kyu likhti hui? Isliye nhi kyuki mujhe adhyayan karna pasand hai ya likhne mai meri tumse adhik ruchi hai par isliye kyuki vichar karna mera matr shauk nhi hai par vo mere jeevan jeene ka ek matr vahaj zariya hai.

Leeza

Comments

Post a Comment

Popular Posts