Mrityu aur janam

Mrityu aur janam

Mrityu aur janam, mai mrityu hamesha janam Se pahle hi kyu aati hai? Kyuki jab tak insan 3-4 baar apni maa ke pet mai marta nhi hai tab tak vo asali mai jeevan jeene ki asali anubhuti nhi karta. Janam lene ke baad bhi shishu na roye to ye sansar uski aankh mai ungli karke use rulane mai lag jata hai, kyu kyuki samaj use jeevan jeene ke liye tyar kar rha hota hai. Shishu roye aur sansar hassse. Asal mai bhi aisa hi hota hai, insan jab dard, peeda, aur dukh mai kabhi man hi man kabhi asal mai rorha hota hai to ye sansar uski khilli uda rha hota hai, farak bas itna hota hai ki vo man hi mann hass rhe hote hai jo hassi unhone apne mathe ki shikan ke neeche dabai hoti hai .

 Shishu jaise janam lene se pahle 3-4 baar mrityu dekh chuka hota hai vaise hi jeevan jeete vakt kai baar mrit ho jata hai, kai baar ho jana chahta hai par ho nhi pata, kai baar sansar use marna chahta hai par vo fir jee uthata hai aur sansar kahta hai -" Ye to upar vali ki krripa hai" Kabhi insan badnami se marta hai kabhi neknami se , kabhi ghrina se to kabhi prem se aur ant mai itni baar markar jab vah vastivikta mai mrityu ke darshan karta hai to kai baaar aspataal ka koi karishma, kabhi uska jinda rahne ka bevkoofi bhara sankalp , to kabhi ishavar ka uska kuch sabse adhik dukh dene ka shrap usi lok mai ghumte hue chodh deta hai. 


Jeevan aur mrityu ke beech mai jo anatar hai na vo yahi hai ki dono mai koi khas antar hai nhi kyuki jeete jee bhi insan kaafi baar marta hai aur marne ke baad shayad vo sachme jee jaataa hai, iss sansar ke shikanjo se door par mrityu ke baad ke jeevan ko kisne dekha hai, maine to nhi par mere mrit buzurgon ne zaroor dekha hoga par mujhe btaya nhi, to mai marne ke baad puratan ispar fir likhna chahugi par abhi to satya ye hai ki insan  jab tak 3-4 mrityu dekhkar uske dwar se lautkar nhi aata vo marne yogy nhi banta, antath marne ki shamta nhi viksit kar pata. Marne ke liye aatma  ka nikalna shanti nhi deta, par dusre loko mein apne jaiso se mel bithana hai, kya ho agar vaha aapka koi mitr hi na bane aur vaha bhi aap akelepan mai mar jaae, ek aur maut, marne ke baad ek aur maut ka maza nhi aaega ye to tay hai, kyuki uske baad aapko koi aur lok nhi milega par milega to bass laagatr maut, ha marne ke baad ek aur maut.

Jeevan ki bat kare to shayad ishwar jab khali baitha apne jeevan se ukta rha tha tabhi usne jeevan ka nirman kara hoga. Dharti par abhi itni aabadi hai ki jeevan ka nirman karn murkhata ki baat dikhti hai par ishvar ka kya hai, vo shyad bahut adhik khali hai aur isi khalipan mai manoranjan ka sadhana kabhi jeevan banana nhi apr kabhi use nasht karna bhi rahta hai, to kabhi vo rail gadi palta deta hai to kabhi hawai jahaj crash karva deta hai aur in sab se bhi jab vah ukta jata hai to kabhi mahamari faila deta hai.
 Ek samay baad ho skata hai apne uktae hue jeevan se mukti pane ke liye vo nar se nye jeevan ki shuruwat kare aur mard gharbvakta hone lage. Kaun janta hai ki ishvar ki dimakhi khurapat kiss cheez ko janma de sakti hai. Jeevan mrityu par vijay hai bhi aur nhi bhi kyuki ek ko to ek shishu itni sari chunautiyon ko peeche chodhkar janam leta hai aur fir vo iss maya rupi sansar ke lapete mai aakar har pal marta hai. Marna matra aatma ka shreer se nikalna nhi hai par na chahte hue vaha par rahna bhi hai. jeevan maatr sans lena nhi hai par har din ek baar firse jeene ka faisla karna bhi hai. Jaise mohabbat bass uska izhar nhi hai par sang rahkar na bayan karne vala samaajik vyapar bhi hai. 

Isliye jeevan aur mrityu dono ek ke baad ek 
chalne vaali vo do railgadiyan hai jo ek ke baad ek aa khadi hoti hai. Jisme kabhi aapka samay aae to aapko janam lekar apne station par utarna hota hai aur aapka samay na aae to usi gadi mai ghumte raho. Ant mai aapko aantim station par utarkar janam ke dabbe se utarkar mrityu ke dwar par safar tay karna hota hai. Uske baad manushya ko nhi maloom hota ki ab uski janam ki railgadi ki ticket kab kategi, usi tareeke se jiss tareeke se manushya ye nhi janata ki tc (yamraj) uski mrityu ki parchi kab kaatega. Isliye samaya ka chakr chalta rhata hai aur jeene vala marne ki icha karta rhata hai  aur marne vala apne pahle janam ke dukh ko bhoolkar ishvar ke charno mai girkar jeene ki aah bharta rhata hai, par dharti par baitha manav kuch aur mauto ka anubhav karta hai aur mara hua danav kuch chain bhare lamho ka jiss pal use uske shanti ke pal katne ko daudte hai par kya kare jaise ishvar khali baitha khurapat sochne ke liye kabhi jeevan to kabhi maut karvata hai, to insan kam hai kya? Use bhi jeevan mai drama chahiye, isliye uski isi bhadati jigyasa aur tapsaya aaradhyana ko dekhkar ishavar use fir jeevan  dedeta hai, jaha vah kuch aur maute marta hai aur fir marne ke baad firse apne pichle jeevan  ki jakad bhoolkar ishvar se fir nye jeevan mai thokre khane ke abhishaap ko fir kabool karta hai. 

Aur fir hoti hai mrityu ek ke baad ek  aur maut aur ye sinsila yu aage pakadta hai ki ab mrityu mrityu nhi maut ban jati hai, jaise jeevan jeevan nhi Janjal banjata hai aur manushya manushya nhi ek haddiyon ka shreer se jeeta jaagta par aatma se marta mitata kankal  banjata hai 

Leeza sharma 

Comments

Post a Comment

Popular Posts