Insan bano insan(IDIOT)
Insan bano insan
Insan bano insan
Hatheliyon ki lakeero ko chantano par jaa likhne bhar se
Ham Aankh band karke andhere karne ke to kayal hai
Par kayal nhi hai ham ek bat ke, jo ye hai
Ki ham jeene ka hak cheenkar , jeevan katne ke hi shayad layak hai ?
Insan bano insan, o nakam ,
Agar tum kudh nhi jee patein, to tum dusro ki sanso ke peeche kyu pade ho?
Tumhe dusro ke gam se kya mila?
Tumhe dusro ke ashko se kab sukoon mila?
Insan bano insan , o insan ke huliye mai band mastishk ki dukan,
Kaatkar darakht pedo ki, zameen ko bajar banakar
Chal diye tum uche makan banane , chal diye tum yuh aag ki basti mai aur aag lagane,
Isani dimag ki kuraphat ko janam to de sakte ho? Tum
Par Insani dil ke marham par ka kya hai tumhara khayal?
Pagal hui mai , kahdo ye mujhse koi aaj,
Insan ko insan banane ki bta rhi hui jo baat
Pagal hui mai, kyuki hai mujhmai zaroorat se zyda jasbat ,
Pagal hui mai, kyuki safar mai hi dhundhti hui safalta ki mithas
Insan bano insan, o sarfire aashiq ki aulad,
todkar hathkadiya hatho ki, gale mai tang kar fanda ,
aankho par laga kar ainak , kar rhe ho tum kaunsa gair karobari dhandha?
Chalne ki zaroorat par, tum uchal ke daud kyu padte ho?
Jeene ki baat karu, to tum talvar khadhe kyu ladte ho?
Insan bano insan,o insan ke gulam,
Kam neend par chalte ho, jaldi mai sote jagte ho,
Puri sans lene se darte ho, ek gilas pani ko taraste ho?
Daulat to khoob hai tumpar, mahalo mai gadi khadi karte ho,
Par khali mahal mai tum akele kya karte ho? [kya akele tum marte ho?]
Insan bano insan, kabhi dusre insano se bhi karo ek aadh baat,
Mujra mat karo apni takleefo ka, kanastar mat bharo apni aazmaisho ka,
Kuch kahne ko tum bhi chodh do, kuch sunane ko use bhi chodhne do,
Aaj ki mulakat ke bad , tum so jana, mastishk ko rok kar dil se ro jana,
Insan tum bhi ho, tum bhi mahsoos karo, rukkar zara chand lamha tum bhi apni bat kaho,
Mahsoos karo, dukh manao, rukkar ek pahar tum bhi vapas insan ke huliye mai insan ban jaao
Apni khoe hue jasbat ko tum vapas lekar aaao
Insan bano insan , insan bano meri jan,
Insan ke kurtein mai, aaj ke vaigyanik aadmi ka kartab mat dikhao,
Bano to insan bano, sultano ki basti mai ek aadh ubaau chutkula tum bhi to sunao.
Kagazi aadmi, kartabi shaqs , kurbani ke baqre to ghumte hai kai
Jinhe har koi chantata hai aur fir unki gardan katata hai,
Astakfirullah aur allah hui akbar ke peeche, ram aur krishan ke aage,
Insano ko bekari ke jeevan ke khel mai bandhata hai.
Insan bano insan,insan ke huliye mai apno se zyda dusro ka sochne vale ache gulam,
Ye zindagi acha karne aur acha hone ke beech nikal jaaegi,
Kya fir tumhe akal aaegi?
Jeena kudhke liye hai sabko, marna bhi kudhke liye hi hai.
to acha tum kisi aur ke liye banane kyu chale ho?
ache tum apne aap se to bano pahle,
apni darkhate katkar , dusro ko mat seecho,
apni haseen cheenkar, dusro ko mat baton,
apni himmat ikathi karke, dusro mai mat fooko,
apne aap ko kabr mai ghadhkar, apne andar ke insan par to mat thukon,
insan bano insan, farishto ko to maine bhi bahut dekha hai,
par aakhir mai vo kartein hai apna hi nuksan
aasan karo imtihan, kudhko chuno meri jaan,
insan bano insan,agar kal ko tum ho bhi gye badnam?
Tab bhi kabhi nhi marega tummein jeene ka jasba aur marne ka tufan.
Isliye na bano insan kyuki insani paidaish hai,
isliye bano insan kyuki jeevan ki aazmaisho mai bhi ,
khudhgarzi aur khudhparsti ki barik si lakeero ki gunzaish hai,
fikre aur fikr ke beech mai karnama vo kar dikhao ki log kahein,
jiyo to yuh jiyo ki kudhke liye jiyo aur pure zamane ke liye misale-mukkadar hi ban jaao.
Leeza
Comments
Post a Comment