KYA YE RAAT SIRF MERI HAI?[AAZADI]
KYA YE RAAT SIRF MERI HAI?[AAZADI]
Kya ye raat sirf meri hai?
Kya ye raat bhi meri tarah akeli hai?
Kya ye raat bhi meri tarah udaas hai ?
kya iss raat ko bhi meri tarah koi aas hai?
Kya iss raat ka bhi subah ho jane ka khwwab hai?
Kya iss raat mai bhi vo pahli vaali raat jaisi koi baat hai?
Kya iss raat ka bhi koi diwana hai?
kya iss raat ke paaas bhi mujhse na baat karne ka koi bahana hai?
Kya ye raat sirf meri ?
Ya ye raat uski bhi hai?
Kya ye rat unki bhi hai jo soe hai aanko ko band karke ,
harfo par nazm pdhkar ,
kambalo ko kaano tak dhadhkar,
sirhano par kitabo ke karkhane rakhakr?
Kya iss raat ka bhi koi afsana hai?
Jo Meri satravhi padd dhadhi ki pahli mohababt jitna purana hai?
kya ye raat bhi bas rulati hai? Kya ye raat bhi sirf sulati hai?
kya ye raat bhi chalte chalte apna raasta bhatak jaati hai?
Kya ye raat bhi hoton se nikalte lafso ki tarah kahi tham jaat hai?
Kya ye raat sirf meri hai?
Ya ye raat unn sabki hai jo raato ko meri tarah aankh band karke din – dophaahar- sham rozanaa so jaatein hai?
Kya ye raat bhi meri ungalio ki tarah कुंजीपटल (की-बोर्ड] par bhaagti hai?
kya ye raat bhi mere mastishk jitni kagazi hai?
kya ye raat bhi mere baarein mai vicharti hai?
Kya ye raat bhi haste haste kai baar ro jaati hai?
Kya ye raat bhi mahino baad ek aadh baar takrati hai?
kya ye raaat bhi aatein aatein , kai baar rastein mai rukjaati hai?
Kya ye raat bhi subah hone se pahle alvida kah jaati hai?
kya ye raat bhi apne deewane ko fannay khan banati hai?
Kya ye raat bhi marti marti , apni aakhiri chingairi ke bharose jal uth jaati hai?
Kya ye raat bhi kafiro ki dharti par kasbe banati hai?
Kya ye raat sirf meri hai?
Ya ye raat uski bhi hai jo sarhad ke uss paar hai?
Kya ye raat sirf Gandhi ki hai? Ya ye raat sirf bose ki hai?
Kya ye raat sirf Nehru ki hai? Kya ye raat sirf Jinnah ki hai?
Ye raaton ki vo raat hai , jo jasbaton ki jaydad mai yuh alaida hui ki kisi ki bhi na rahi?
Ye raat sirf meri nhi, na ye raat sirf uski hai .
Ye raat na amrita pritam ki , na imroz ki,
Iss raat ki subah kabhi nhi hui, iss raat ki to raat bhi puri si nhi hui,
Ye raat banane chali thi Hindustan-pakistan ki raat,
Par ban baithi hindu-muslim mai janma sabse bada sarhad vivad.
Yahi hai iss raat ke aaj bhi halat, janta ka to pta nhi ,
par sarkaro ka to yahi kahna hai, ki hame aazadi mile satarh[77] varsh pure hue,
Ab hue ya nhi, ye to raton ka muavaaza karne par hi maloom hoga,
Aur hoga bhi ya nhi,iska tasaffur to kaafi vyaktigat hoga,
Mujhe raaton se koi masla nhi hai, barhale harfe-raat se badi mohabbat hai meri,
Par mujhe vivado se bhi koi bair nhi, isliye kahdeti hui ek aur baar

Ye raat kuch khaas nhi, iss raat mai bhi koi vo baat nhi,
Ye raat bhi ek sadma hai, jisase ubharna ek kalma hai,
Aazaadi ab bhi ham par bhari hai,
Aazadi kal bhi ham par bhari thi,
Aazadi angrezo se paani thi,
Alaidagi apano se nibhani padi,
Aazaadi ab bhi hame yaad hai,
Aazaadi to ab bhi ek khawab hai,
Kaun hua hai aazaad?
Maut se pahle, [vo bhi]kabhi jeevan ke saath?

Leeza~
🔥🔥
ReplyDeleteYo that’s lit
ReplyDeleteHey, I came here from okcupid ! and I found your blog extremely intriguing! would love to know you and your writing more
ReplyDeleteYou have delivered this in a quality way. Trust me you should write more because the way you write is so alluring and eye catching. Go for more.
ReplyDelete