INSAN KA KHATMA (METAPHORICAL~WAR)

 Sach ke bad ek aur sach, uss sach ke bad firse sach aur fir sach ki ek dukan  
Karti hai yaha ke samaajik parindo ko hairan
Kaydo ki rod par ,bheedh  ke har mod par, 
Jab bhi koi karta hai batein
 tab jhooth aur sach ka mishran nazar aata hai
Fakt ke aage aur fakt ke peeche bhi
Har karnama sar anjam ho hi jata hai
Kahne ki bat bass itni hai, 
Tumhari lagat to meri roz ki aamdani hai 

Mai jhooth kahu ya sach? 
Manana tumhe apne mann ka hi hai jab
To fir jhooth bhi sach bankar bik jata hai
Aur sach, sach hokar bhi, sabki chappalo ke neeche kuchla jata hai
Jiski surat itni banti bigadti hai ki ab vo sach sa nhi lagta
Balki jhooth sa basar aata hai
Aur jab bazaru log sab bech dete hai 
To vo bigade hue sach ko ull jalool sa jhooth samjhkar, 
Galat daboo mai sametkar, usko bhi galat damo par bech aate hai
Tab na sach sach rahta hai, 
Aur na jhooth jhooth
Sab aatam chetna ke ansho mai milkar
Gunehagaaron ke hisse mai unke hisab se bantata ( divide equally) hai
Jhooth sach ki chadar pahne khilkhilata hai
Sach jhooth sa bankar, apni ahmiyat par khoob itrata hai
Aise hi mashre mai fir Katleaam ka samandar, 
Sar Anjam aata hai, 
Na insan bachta hai
Aur bhaghvan to kabka  khudhko kabr mai dafna kar, 
Jannat se muskurata hai.


Insan ka khatma , 
Insan kudh hi karta 
Kudhko hi aag lagata hai
Aur khudhko hi shaiya par jalata hai 
Fir apni rakh ikhathi kar 
Kudhko hi bahane, 
Lekar jab vo jata hai
Tab apni maut par 
Use vo din yaad aata hai
Jab vo sach ko jhooth ki imarat ke neeche dafnata hai
Aur uspar khoob zor ka thahaka lagakar kahta hai
" Tu dekh apni kismat, 
Tu dekh apna gunah, 
Tujhe kya laga? 
Tujhe kya hua? 
Sach hokar bhi , 
Tu aisa mara, tu aisa mara, 
Ki tera astitva hi simat gya"


Par jab insan ka kudh khatma hua, 
Vo kudhko hi jalakar, apni rakh bahakar
Apna astitv mitakr, yu gya simat, 
Ki sari fitrat ne use uske anjam tak pahucha diya
Usne hi aaj uske vajood ko tabah kiya
Aur yuh tabah kiya , 
Ki uska nam o naksh iss srishti se sada ke liye mita diya .

Fir na sach ke bad sach bacha, 
Na jhooth ke baad bacha jhooth, 
Bachi to bass 
Khali dariya mai
Lahu ki boond. 

Ant hua srishti ka aur 
Brahmand gya simat
Insan ne insan ka kiya khatma
Aur kat gyi har ped ji darkaht.
Insan tab insan na raha, 
Ban baitha vaishi, darinda, and- bakht, 
Haivan tab haivan na raha, 
Jab usne kudhke aatank ka hi kara ant
Khatma hua, bhramandh ka,
Mar baitha, loktantr, 
Sarhado ki ladai mai, 
Vishv hua aasakt 
Insan ne insan ko mara, 
Maut ka chala parapanch 

Srishti hui lahuluhan 
Yudh hua, sar anjam
Shasak ne kiye zulm, 
Insan tab insan na raha, 
Jab insaniyat par laga, dohra kalank
Ek maut ka, ek matam na karne ka, 
Ek hatya ka, ek htyare ko na pakadne ka, 
Ek katleaam ka, ek katil ko sarakho ke peeche na kadha karne ka ka,
Ek  jang ka aagaz karne ka , dusra trahimam ka ghadha bharne ka. 





Leeza 

Comments

Popular Posts