Vakt be-Vakt
1) Jab sach ko chipana ho
To use khayal ke badal main bandh kar udane ka tareeka bahut acha hai,
Ghalib
Par Jab jhooth ko sach banakar dikhana ho,
To use har insan ke muh se bar bar dohrane ka tareeka bahut khoob maloom hai !
2) Hamari mohabbat Mai do hi kamiya thi
Ek to mujhe batein banane ka bahut shauk tha,
Aur use to bolna bhi nhi aata tha,
Mujhe likhkar apne anubhavo ka kahane ki bahut chahat thi,
Par use to padhna bhi nhi aata tha.
3)Samaj ka sabse bada masla yahi hai
Ki jo padha likha hai, vo yaha ke logo ke liye pagal hai,
Aur jo unpadh gawar hai, vo yaha ban baitha kabil hai
(context of democracy)
4) seekhne ki chah to mujhme bhi hai,
Par ye jahan mujhe kya sikhaega,
Ishq karne ki aarzo to usme bhi thi,
Par ishq karne ke kaayde use kaun batlaaega,
Ishq har ek ke bas ki kaha,
Ye to pagal kar chodhta,
Na iss mulk ka insan rahne deta hai,
Na uss nark ke dwar mujhpar kholta hai,
Maut ka intazar rahta hai
Zindagi ke sitam mai
Par Maut aati nhi
Aur zindagi sambhali jaati nhi
Leeza
🔥🔥
ReplyDelete