DUDH KA DHULA AUR SHRAB KA NAHAYA ( EK MAHAN VYANGYA)
Doodh ke dhule aur shrab ke nyahe
Hamare smaaj mai aise logo ki kami nhi jo aksar apni mahanata ka raag alapate rahte hai aur har aae gaye ko ye batate rahte hai ki insan mahan kaise bane? Vo alag baat hoti hai ki baaki logo ko mahan banana ka shauk hai ya nhi, ye vo unse puchna gawara nhi samjhte. Samaj mai mahan banana ke kuch paimane sthapit kar diye gye hai, aaiye unpar Prakash dale,
1. Apna kaam vakt par ya vakt se pahle hi nipata lena , mana gya hai ki mahan log aksar ye kartein milte hai , kyuki unhe khali baithne se oobh hoti hai na, khali baithna unse raas nhi deta , kyuki yuh vo panch minute khali baithe nhi aur udhar unke mann mai koi manviy amahan vichar panpa nhi. Mahan log sochne bicharne se katarate hai, sochte vicharte sirf vo log hai jo samanay hotein hai, vo ye sochte hai ki khali samay mai kya karein, nayi picture dekhe ya bahar ghumne jaaye, par aap kabhi bhi kisi mahan vakti ko inn sare prashno ki uljhan main hi dekhenge , kyuki unke paas khaali samay hota hi nhi hai, sara ka sara samay vo mahan banana mai hi zaya kar dete hai, vo alag baat hai samaj aur vo savayam use zaya karna nhi mante aur sahi bhi hai, jo vakt mahan banana mai laga vo bhale kaise zaya ho sakta hai?
2. Mahan vayakti ki dusri badi nishani hai , koi nya vichar na mann mai aane dena. Har naye vichar ko nakarna . dekhiye mahan vahi jiske mann mai koi sandeh nhi, aur sandeh na hone k sabse bana auzar hai , apne mann mai koi prashan hi na aande dena , na koi nya vichar ana aur uski chunautiyo se nipatane ki koshish karna. Mahan vakati apni Mahanta ke jaal mai yuh jakda rahta hai ki vo chahe bhi tab bhi samaj unhe unki mahanata bhang nhi karne deta.
3. Shastro mai mana gya hai ki mahan log kam bolte hai , par kaliyug mai ulta hai, jo jitna mahan vo apni mahanata ka zikar utna hi karta nazar aata hai. Asal mai kaliyog mai jansakhya bandhne ke karan itne mahan bhudhijiviyo ne janam leliye hai ki koi bhool na jaaye ke parle ghar mai bhi ek mahan ka vas hai, to jhandha lekar apni mahanata ka raag alapana ab niyam ho gya hai. Aajkal jo mahan vayakti apni Mahanta ka raag alapta nhi nazar aata, uska vayakatitv mahan nhi mana jaata.
4. Ye bhi mana jata hai ki mahan log kabhi galat nhi ho sakte , vo alag baat hai ki mai aisa nhi maanti . ha ye zaroor manti hui ki agar mahan koi galti bhi kr de tab bhi samaj use niyam bana kar Mahanta ka nya paimana zaroor nishchit kar dega . jaise jab hindustan ke paas angrezo se ladne ke auzar aur himmat jawab de gyi thi , tab Gandhi ji ahinsa ka nara lekar aa gya, iss baat par kitne hi ithisakaro ne behas Karli ki ahinsa se desh ko aazadi dilvana laabhdayak tha ya nhi , aur iss behas ka koi ant nhi hai aur jiss bahas ka koi ant na ho vaha samjh lo daal mai kuch kala hai. Par mahan banana ke liye insan , vo kahte hai na aapda ko avasar mai badlata hai , vahi hamare Gandhi ji ne kiya , vaise bhi hindustaniyo ke bass mai to tha nhi angrezo se ladna , to unhone ahinsa ka nara dekar ,apna mahan banana hi karyarath karva liya. to jab majburi me jaise taise desh aazad hua , to ek mahan budhijivi ke bhi desh ko darshan hue , jiski Mahanta ka alaap aaj tak bajta aa rha hai, aur jaise ki mahnata ka ant nishchit hai kyuki uska bojh zyda din tak uthaya nhi ja sakta , aise hi Gandhi ji ki bhi hatya kar di gyi.
5. Mahan logo ke Jeevan mai ek pratibadh niyam hota hai, vo log sab kuch niyam se karte hai, kuch bhi apni aantrik ruchi se nhi kartein , niyamit vayakti hi mahan kahlaya jaata hi. Jiske paas niyam nhi , vo kaha ka mahan , jab tak insan apni samany insani ruchi ka bahishkar karke niyamit taur par kary nhi karta, ve mahan nhi ban sakta, ab chahe uske niyam kaise bhi kyu na ho.
Hamare gaanv mai ek vridh aurat rahti thi, vo kahti thi ,mahan log doodh ke dhule hotein aur shrab ke nahaye . to mai akar unse swal karta tha ki doodh ke dhule to samjh aaya par shrab ke nhaye kaise? To vo mujhse kahti thi ki jab vo savere savere doodh se swayam ke shareer ko dho lete the , to din bhar chahe vah shrab ka sanan kare ya gatar ke paani ka, agale din to unhe firse doodh se swayam ko dhokar Mahanta ka choga odh hi lena hai na , to isase kya farak apdhta hai? Farak padta hai doodh ke dhulne se . baat to unki bhi sahi thi, hamare gaanv mai uss vakt ek aise hi Sajjan raha karte the , vo subah savere uthate, naha dhokar pooja path karte, fir jakar sojaate , unki 3 biwiyan thi aur unse 11 bache , biwiyan alag alag gharo mai jhadu pocha marti aur jaise taise bacho ka pet palti , jabki unke pujneey mahan pati , aaram se 1-2 baje sokar uthate aur bhojhan ka order karte, jo unki badi beti banati, fir vaha bhojhan karke, kuch der apne dosto ke sath gupp lagane jaate , aur shaam mai aakar chae naashta kartein aur fir apni kisi na kisi biwi ko zaroor marte aur fir raat mai apne dosto ke sath cinema dekhne jaate aur jab koi nayi picture nhi lagi hoti to vo manoranjan ke liye ek aadh bache ko bhi niyam se marte . Ye unka niyam tha , ab aapme se kuch log kahenge ye kaha se mahan hue , are aap lagta hai bhool gye hai ki mahan logo ka sabse badi nishani unke pratibadh niyam se ki jaa sakti hai, jo niyamit taur par koi cheez rozana, ek bhi din bin derr saver karta hai, vahi to hai asali mahan, doodh ka dhula aur shrab ka nahaya mahan.
Aajkal ki sarkaro ko bhi mahanata ka darja de diya gya hai, ye bhi har baar naye chunav hone se pahle , apne mahanata ka danka bajati nazar aati hai. Jo Sarkar pahle se hi niyukt hoti hai , vo to khaskar , apne mahan tareeke se desh ko chalane aur usme badlaav karne ki baat dohrati rahti hai. Kuch sarkarein to ye tak kahne se nhi chukti ki , dekho kitni Mahanta se hamane loktantr ke hotein hue bhi tanashah banker raj kiya , vaise unka ye kahna sahi bhi hai, ek loktantrik neta , soch vichar kar niyam kanoon banaega ya desh ka nirman karega par ye to bass ek tananshah ke hi bass mai hai jo bina koi vichar vimarsh ke apne hisab se jo mann aaye vo kaary rath kar sakta hai. Par samaj ki sabse badi pareshani mahan sarkaro ka niyukt hokar aana aur raaj karna nhi hai par uski sabse badi aapda hai iss Mahanta ka bhojh sahna . Kai baar aisi Mahanta isliye shrap bhi ban jaati hai par zydatar cases mai jab tak insan apni Mahanta se bhojhil mahsus karne lagta hai, tab tak uski mrityu hi ho jaati hai. Sarkaro ke case mai bhi ye baat sahi hai, Indira Gandhi ki Sarkar jab apni Mahanta se aatam grasit ho gyi thi tab uska bhi ant hua, pahle Sarkar ka aur baadme Indira gandho ji jaisi mahan vayatitv ka. Par sabse zyda nuksan , desh ko mahan vayakti ki kami se hota hai , kyuki jab ek jata hai to sarkaro ko chalane mai to khaskar kisi aur mahan vayaktiv ko uski jagah leni padti hai aur iske liye insan ka vayatitv koi aam dharje ka mahan nhi lekin parle darje ka mahan hi poora kar sakta hai.
Ab firse chunav nikat hai , aur har dal apni Mahanta ka parcham lahrahta nazar aa rha hai. Har party ka head, mahan se mahanattam ki sidhiya chalta jaa rha hai, vo alag baat hai ki iss satta yudh ko jeetkar , desh ka chehra kaun banega aur kaun mahan ki shedi ko langhkar mahantam ban baithega ye tay krna abhi janta ke haath mai hai, par asal baat to ye hai ki kahi agala raj neta bhi apni mahanata se bhojhil hokar mar mara hi na jaae. Ye baat bhi gaur karne yogy hai ki saman vayakti ya aam rajneta, kabhi jel ke andar jata hai to kabhi vidyalo ki marmmat karvata hai, jabki mahan rajneta ko in sab ki zaroor nhi rahti. Kyuki vo bass apni Mahanta ka formula tv , radio ke dwara sabko sunata hai aur Janata bhi uski tarah mahan banana ki rah par sochna bicharna band kardeti hai .
Asal mai apne desh, Hindustan ki pareshani ye hai ki yaha sabko mahan banana hai , kisiko aam ya saman banana ki cheshta nhi hai aur sach pucho to sahi hi hai, kyuki jaha manushay ko doodh se dhulne aur shrab se nahane ka avasar mile vo insan kyu chodhega , jaha aam insan paani se dhulta aur nahata hoga vaha mahan ke to paimane hi alag hai . vaise chahe jo bhi ho mera manana to ye hai ki har mahan vyakti ko Jeevan mai kabhi na kabhi saman banana ki cheshta zaroor hui hogi , isliye nhi kyuki uska bhi paani se nahane ka mann karta hoga balki isliye kyuki sharirik pyaas na to dudh se bhujhti hai aur na hi shrab se .
LEEZA
Comments
Post a Comment