HAMARE ZAMANE MAI INSAN MARTA NHI THA
HAMARE ZAMANE MAI INSAN MARTA NHI THA …….
“Hamare zamane mai insan marta nhi tha par mar khap jata tha . aajakal tum logo ke paas kitni suvidhae hai , hamare zamane mai ye sab hota to ham chand par diwar bana lete aur bageecho mai sitare uga lete aur 4-5 baar bharmand ka chakkar to laga hi chuke hote . “
Logo ko aapne aksar ye kahte hue suna hi hoga ki hamare zamane mai aisa hua karta tha. Hamare zamane mai ye, hamare zamane mai vo, hamara zamana aisa, hamara zamana vaisa. Par sach to ye hai ki zamane badalte rahte hai aur sansar yuhi chalta rhata hai. Jo hota hai vo aae din hota hi rahta hai. Adhikansh janta bhukhi marti hai , aur jinke paas khan ko bass bhojhan hai vo dimag khane ka nhi sochte, jinke paas aur suvidhae hai, vo khana nhi khate kyuki unke paas aur bhi bahut anusandhan hotein hai vagrah vagrah ki cheezo ko khane ke aur sach baat to ye hai ki , muh ka zzayka badalte rahna chhaiye , bhojhan mai kya hi rakha hai, khaao vo jo nya ho aur jisme maza aae. Isliye ye janta ka na chalne vala dimag kha jaate hai aur kabhi boriyat ho jaae to straw lagakr unka khoon pee lete hai, usase bhi jab oob ho jaae to unki chamid udedh kar nya vaynjan bana lete hai .
Insan chahe jiss bhi zamane mai rahe , kahega yahi ki hamara zamane mai alag tha , par sach to ye hai ki kahne ko ho sakta hai ki unke zamane mai suvidhe aur sadhan kam ho aur ye bhi ho sakta hai ki aaj ke gareeb uss zaman ke gareeb se bahut viksit aur cultured lage par sach ye hai ki utna bhogne vale hi itna hai ki , uski abhilashae use mansik roop se gareeb bana hi chodhti hai aur sach bhi hai , mansik gareebi hi asali gareebi hai, insan dimagi taur par ameer hokar apni aarthik gareebi mita sakta hai , aur apne shareer par mahant karke sharirik roop se bhi swasth ho sakta hai par jab manav mansik taur se hi apang ho to fir kya kiya ja sakta hai. Ho skata hai hamare buzurgo ke zamane mai manav itna smridh na ho ki vo internet ke comment section mai gaali galoch karein , par itna Samarth to hai hi ki gali mahalle mai ladle, ghar par biwi , bacho ko marde aur sadak par kutto par pathar fek de. Tab vakt bitane ke sadhan aur the aur aaj aur hai. Insani dimag chahe kitni bhi tarakki kyu na karle, chahe vo kitne hi zamane kyu na badal le , vo rahega insan hi , aur sach to hai ki insani Jeevan kashtdayi hai. Kuch log ise bhog rhe hai , par zydatar ek umar ke baad ise kat hi rhe hotei hai aur yahi karan hai ki jab mann udaas hota hai to insann apne aap ko pal, do pal ki tassali dene ke liye , purane zamane ki bat kardeta hai, asal mai pichla zamana behtar ya zyda kargar nhi tha, vo hamara bachpan, hamari kamumar main nasamjhi, hamara javani ka josh tha jo hame Jeevan ko jindadiilii se jeene ka hosla deta hai.
ye zamana, uss zamane se zara jakaar apni zaban mai kahde’
ki zamane par zamane aaege’
iske khatam ho jaane ke bad bhi kuch syane aaege
jo kahenge ki ye zamana bahatar tha
fir zamane par zamane yuh palte jaaege
aur palte zaman ke sath
insani Jeevan ke zamane bhi insan ko khoob aazmaaege
zamane bhar mai jab zaleel hoga vo
to sare zamane vale uski khili udaege
par fir vo zamane bhi tumhe yu yaad aaege
aur agale zamane mai vo mil jaege
ek zamana aisa bhi aaega janab ,
jab insani kamyabi ka jashna manaya jaaega
tab sare gali mohalle vale
tumhare liye zamane bhar ki tareefe bator laaege
iss chalave mai mat aana janab
kyuki tumhe vo fir apna rasta naapte nazar aaege
bass ye smajhna
ki ek zamana jaane par dusre zaman ke log bhi tumhare paas khiche chale aaege
agar zeb mai Daulat hogi aur samaj mai hoga rutba
par ye bhi rakhna yad , ki agar zahan mai shanti hogi
to beete zamane iss zamane se khuch zyda haseen nhi lag paaege
isliye beete zamane mai rahne vale rahi,
tu thoda aage khisk, iski -uski baton mai kya rakha hai,
insani Jeevan to ek sadma hai,
har kisi ko mila hai, har kisi ko guzarna hai,
ab tu chahe isase karle ishq, chahe tu nibhale bair umar bhar ka
iss zamane mai rahmo karam nhi hai
insani Jeevan to ek malba hai
insani Jeevan to ek tarfa hai
insani Jeevan to ek ghumne vala charkha hai,
maut to uski bhi tay hai, maut to tumhari bhi bevajah hai,
vakt nhi lagta mar mara jane mai
vakt lagta hai kaayda ka insan ban paane mai
vakt lagta hai insan se insaniyat ka swab paane mai
vakt lagta hai insani Jeevan ko kalma banana mai.
waow!
ReplyDelete