JI MAI KAVITA KHATA HUI
Ji mai kavita khata hui
Jab mujhse pucha gya ki mai bhojhan mai kya khati hui?
Maine bola kavita,
Sab zor se hase aur fir sabne mujhse pucha,
Tumhara pasandida vyanjan kya hai?
Maine kaha kavita,
Kisi ko meri bat par vishwas nhi hua ,
Sabko laga mai hasay kar rhi huu
Virodabhas to ye tha ki mai likhti bhi hui
Ab kaisa likhti hui ye to upar vala hi jane
Fir sabne mujhse pucha?
Aapka pasandida kary kya hai?
Maine kaha sona,
Sab hasne lage,
Par ek aadmi uth khadha hua,
Usne mujhe takiya diya,
Maine uska sahara liya
Fir usne mujhse kaha aap so sakte hai,
Baki sabne meri taraf gaur se dekha aur pucha
Kya aap thake hue hai?
Maine pucha ,
Jeevan se Ya shareer se?
Unhone kaha, iss vartalaap se,
Mai muskarane lagi,
Fir unhone mujhse pucha
Kya aap madira ka sevan karti hai,
Maine kaha, nashe ke liye ya shauk ke liye?
Unhone kaha gam bhulane ke liye.
Maine kaha, ji gam kaha hai?
Unhone kaha, aap to kavi hai, aapko to dard hua hoga kabhi,
Maine kaha, jeevan se to koi khaas shikva nhi hai, na logo se hai, unse to vaise khas umeed hi nhi hai , aur
Khudhse bhi meri koi shikayat nhi,
Vo sab aashcharya se puchne lage,
Aap theek to hai na?
Maine kaha, ji, bilkul,
Unhone fir pucha,
Aap kavi hai na?
Maine kaha ji
Aap fir kya likhte hai,
Jo mai kah nhi sakti vo likh deti hui,
Aap sach ke kavi hai ya jhooth ke?
Ji mai vicharo ka kavi hui
Acha, to aap samaj ke kavi hai ya mohabbat ke ?
Aur manhusiyat to bahut si hai zamane mai, to aap kis manhusiyat nke kavi hai?
Ji meri manhusiyat mohabbat nhi, meri manhusiyat to jeevan bhi nhi, meri manhusiyat dard bhi nhi aur mai khudh bhi nhi,
To aap ko kaun manhus lagta hai?
Ji mujhe atyadhik vichar vimarsh karne ki prakriya manhus jan padti hai
To unhone pucha,
To aap lekhak hai aur aap sochte nhi hai,
Maine kaha
Ji mai barhale kavi hui aur bhula basra lekhak hui
Yakeenan mai sochta hui,
Par mai apne vicharo se apna mustakbil gam ki or afsurda nhi karta
Kal kya hoga iska khayal nishchit nhi karta
Kavita ko mai kabhi khata hu
Kavita ko mai kabhi gata hui
Kavita ko mai kabhi banata hui
Aur kabhi kudh kavita ban jata hui
To kya aap darshanik kavi hai?
Ji nhi , mai betuka kavi hui.
Dhanyavaad
Leeza

Good💎
ReplyDelete