अंतिम दुख

Antim uchai mein Kunwar Narayan Kahate Hain
दुर्गम वनों और ऊँचे पर्वतों को जीतते हुए
जब तुम अंतिम ऊँचाई को भी जीत लोगे—
जब तुम्हें लगेगा कि कोई अंतर नहीं बचा अब
तुममें और उन पत्थरों की कठोरता में
जिन्हें तुमने जीता है—
जब तुम अपने मस्तक पर बर्फ़ का पहला तूफ़ान झेलोगे
और काँपोगे नहीं—
तब तुम पाओगे कि कोई फ़र्क़ नहीं
सब कुछ जीत लेने में
और अंत तक हिम्मत न हारने में।

Per Mera Sawal aap sab se yah hai ki kya antim Chattan Paar kar lene ke bad, antim Parvat Chadh lene ke bad manushya Azad ho jata hai?kya ye sab hasil Karlene ke bad manushya Itna Swatantra ho jata hai Ki vah Dukh ,Dard ,peeda, yatna Ki bagdoro se Pare Ho jaen? Kya antim uchai manushya Jeevan Mein antim Chetna ya Sach kahen to antim Dard ko Byan nahin karti?
Aakhir kab manushya ko Aakhri bar usahi bechaini ke sath Dard mahsus Hota Hai jo Uske Sharir ko chotil karke ,uske mastishk ko Chintan se Bhar De? Kya manushya Vastav Mein Kabhi antim ya Aakhiri bar peeda ko mahsus karne ke yogya ho bhi pata hai , ya marne ke bad bhi use kishoravastha ka akelapan, javani ki bechaini Aur grahasth jeevan ki chintaen Satati Hai? Kya antim Dard Matra ek swaran sapne Jaisa Hai. Kya Manav ko safaltaon ki Chattanon ke beech mein yah pratit Hota Hai Ki vah sab kuch Jeet chuka hai ya vo sochta rahjata hai anekon Uske Jaise Katar Mein vahi khade rah jaaege aur antim unchai ka Swad kabhi Nahin chakh Payege, Jabki shayad kaaio ne usse bahut jyada prayatn Karen honge, tab kya use Jeevan ke anishchit Chunav par , Swayam ke liye garv mahsus Hota hoga ya Vah tiraskar ke aandhiyon mein Swayam ko ayogya manta hoga ? 

 Kya yah manushya ka antim Dukh Nahin hai? Kya Sab Kuchh Palene ke bad bhi Hone Wali bechaini Jab uski Raaton Ki Neend Uda deti hogi ? use har roj yeh Ehsas dilati Hogi, ki voh Kabil To Hai, per Uss Jaise bhatero hai aur usse Behtar croro Aaj Yahan Isliye Nahin Hai Kyunki Yahi Jeevan ka aspasht Kayda hai. To kya vah rat ko chain so pata hoga? Kismat, vakt, Sahi Samay per Sahi Logon se milna , sahi Samay per Sahi cheez karna , iss ghar mein Paida hona usme nhi , acche Mata Pita dwara Parvarish pana jisme uska koi hath nhi hai . yah sab jeevan ki voh aniyat aur vastvik sacchaiyan hai Jiske bare mein ham log kam baat karte hain. Antim unchai Aakhiri unchai Nahin , antim Dard- Aakhiri Dard Nahin, antim vifalta- Aakhri Har Nahin Hai , ye sab vyaktigat misaale Hain manushya ki Swayam ko Har Lamha dandhas badhane ke liye ki vah yogya hai, Kabil hai, mehnati hai, Saksham hai, karmath hai aur Na Jaane क्या-क्या?

Per vastvikata to antim parvaton Ke baad Shuru hoti hai Jiske bare mein Ham Suvidha bhogi jeev vartalap hi nahin karna chahte aur Karein bhi Kaise , parvaton Ke Paar dekhne ke liye sahuliyaten Jo chhodani padati hai. Isliye Shayad manushya ka antim Dukh Vahi hoga Jab vah unn parvaton Ke Paar Gaur Se dekhega jinpar vah chadhai karke vaha tak pahucha hai aur iss sach ko Kabhi Nakar Nahin payega Ki Uski kabiliyat mein bahut se akasmaat karan hai aur uske Prati aabhar vyakt Karega aur uss Din uska antim Dukh uska antim Santosh Bankar uski aatam Chetna ki purti Karega.

Dhanyvad

Comments

Popular Posts