IQBALE-INQALAB

Mere inqalab ka falsafa ban tu
Mere insaf ka ban Tu aaina
Tu kashmakash mai kash ban yu
Ki ban jaau mai tera sara jahan
Sara jahan mai yuh banu
Aur tu bane mera kalma
Mere kalme ka haraf ban Tu
Ki tere halaf par ho jaau mai fannah
Fannah mai yuh hou ki kudha bhi ho meharban
Tu siyahi de apne surme ki mujhe udhar yuh
Ki mai use kalam band kardu
Tu kirdar de apni ruh ka mujhe
Aur mai kudhko gunehgaar karar kardu
Mai kasab banu aazab ka
Aur mai tujhe nakshe byan kardu
Har uss shaqs par jisne tujhe haqir bana diya
Mai unhe tujhpar kurban kardu
Aur kardu kurban ye sari duniya
Kayamat se nadamat tak

Jo sir teri bandagi Mai na jhuke
Mai Unhe gunehgaar karar kardu. 
Mai unka surte hal behal kar du
Par kya faayda meri deewangani ka? 
Kya faayda mere gam byan karne ka? 
Kya nafa aur kya nuksan iss yarane mai
Jaaha ilham durust na ho
Aur mehboob ko zarf na ho. 

Ye to Ghanimat hai faiz ki
ki ghalib par unki ja nisar thi
Agar tum par hoti
To aafat, ibadate-surat behal hi hoti
Ishq mai murshid  ham bante
Aur Kaifiyat kudha ke sir anzam Hoti
Jurme syah ham hote
Aur kambakht aap anjum mai byan Hoti
Talha ke neeche baith, tanhai-e- gam ham gate
Aur amal ka kayda par aap saugat khate. 

Faiz to faiz the
Jaun bhi aap par ja mitate
Kambakht mohabbat marz hi aisa hai
Jiski dawa ghalib bhi peekar sote
Par har pahar asar ho jata khatam
Aur fannah hone ki chah mai karte Sare- shahgird bhi mukkamal khudhpar sitam, 
Iqbal ka kahna tha aur gulzar bhi kar gye byan
Mohabbat hai  imtihaan hi aisa bai
Jo kar chodhta hai begunah ko qasoore-e- chah mai giraf

Tujhe ilham bhi nhi hoga
aur teri jaan ka sadqa khak pada hoga
Tere mehboob ki tasveer ke kinare
Fann tera apni takhte-intehaa hoga
Aur ruh teri zameene zard hogi
Tu paal mat ishq ka rog
Tu aazad chodhde apna har ek shok
apne hunar ko kar taqseem tu
Mohabbat insani jasba zarur hai
Par insano se karne ka marz nhi
Deewane. 

Tu God mai dede apna sir apne rab ke
Aur beniyaz hoja apne inqalab mai
Apne malik ke tauseefe (admiration) byan mai
Padhde kaseede ban parastar(fan) 
Ki malik bhi kabule 
Tu hi hai Khuda-e-Sukhan(God of poetry) 
Tu hi hai sher -e-zaman(lion of the era) 
Tu hai hai ustade- byan 
Aur tu hi hoga qabile-e- eitibar-har muddate-jahan, 
Jab mozu (subject) ho mohabbat Or insan ho masad-e-nishan (fortunate) 

Leeza

Comments

Popular Posts