KAR GUZAR

Ishq ka swab bhi chaiye
Aur bichadne ka gam bhi nhi
Wafa ka Karam bhi chaiye
Aur bewafa ka jism bhi
Kya vasuli ka zamana aagya hai
Ishq na hua, makan ho gya
Malik beghar ho gya aur kiraydar sir anjam Ho gya
Ishq ek hisab ho gya, ishq bass ek Kam hogya

Karlo Varna bina kiye bhi marna hi hai
Mohabbat ek sharbat ho gya
Peelo Varna zahar to kadva hi hai rago ko tumahari sadna hi hai
Jaisa bhi ho ab, kar Kara kar nakki karo
Ishq ke nam par nikkah ki bat pakki karo
Chahe ho lagav ya bass dosti ya khush shakal hone ka kalam
Likhkar ise ishq ke diye hue sitam
Ruh ko apni ratti bhar ka karo
Ishq karo ishq karo
Ishq ke parde mai ek dusre ki jhoothi sachi abhivayakti karo
Karo mat bass khyal, koshish aur izzat
Aur Ishq ko badnam karo

Ishq ko itna badnam karo ki bass dard bache aur mohabbat ho Jae aazad
Khol do pinjra aur samet lo vedna
Ye ishq nhi janab
Anna hai
Aazadi ka kalma nhi
Aagaze jeete jee Marne ki saza hai
Ishq ko kardo tum Badnam
Aur khudha se aankh fer lo
Mat Mano malik ki bat
Ana ka parcham zarde mulk tang do
Ishq ka jihad katdo
Ishq ki lash var do
Mar jane do iss kamtar ahasat ko
Aur nafrat faila do gulistan mai
Aantank likhdo zarde kalam par
Har quam ke akhlaq par
Aawwame saz par
Ishq ko Dafnado , ya uska murda jala do
Aur agar khak mai bhi bach jae mohabbat ka koi nam O nishan
To use Ganga mai baha do
Taki Ganga punarjanam de paee preeti ka nya avatar
Sneh ko chahe mardo ya kardo uska Vinash
Fir vaapas aaegi vo karne manav jeevan ka udhar
Budhi jeevi kahh gye
Mrit ho gye budh
Par kudha na insan ko Mila

Na insan mila kudha ko
Mila to bass uzar Mila
Deewane gam ko
Gam ko gam na Mila
Gam ko mili Gila
Gila ko gafkat na mili
Gafkat mili ghalib ko
Ghalib ko gulistan na Milan
Gulistan Mila Ghayal ko
Ghayal ko ghar na Mila
Ghar Mila gunehgar ko
Gunehgar ko gunah Mila
Gunah Mila to bass aurat ko. 

Vakt tareeq ho gya 
Aur ishq ho gye malal
Malal maksad ho gya
Aur jihad hogya halal. 

Dhanyavad

Comments

Popular Posts