Dil maanjaaega (kya vakay mai hi?)
Suno zara.........
Khwab nhi tha vo mera,
Hakikat thi vo meri zindagi ki,
Kuch arse ki hi sahi,
Mohabbat thi jo maine usase ki thi.
Vaakyat badal jaate hain,
Logo ki tarah,
Purane andaaz nye pahnave mai aate hai,
Sarforosho ki tarah,
Sarfira tha voh,
Sarfira hi hoga,
Ishq ke layak kaun hota hai?
Ye do band aankho ka haseen sa dhokha hai!
Kya Baat Hai,
Kya andaz hai,
Sile hue hoto ke peeche,
Tumne chupae kitne ginhone raaz hai?
Kya Baat karu huliye ki?
Yaha to haq mara gya hai,
Kya Baat karu gunaho ki,
Yaha to gunhegar ne kudh gaddar ka girebaan chua hai
Beete vakt ki betakaluffi bhari baate,
Bhare hue ashko mai hai baadh sa sailab laate.
Unhe Jaane ka kah do,
Unhe aane se roko.
Jo galib aaj mere liye mar gya,
Vo Kal kyu vapas aaega,
Jo galib Aaj Andhero mai mujhse bichad gya,
Vo Kal kaunsa Saath khada rah paaega.
To dil ko tu dariya bna le,
Aur mohabbat ko apni Jaan thama de,
Kyuki aaj nahi to kal,
Sab kuch sahi ho jaayega,
Sab kuch sahi ho jaayega,
Na use tu Yaad aaega,
Na tujhe vo,
Par fir bhi kisi din,dil ke ek kone,
Mai agar uski yaad aajaae,
To dil ko samjha dena,
Dil to bacha hai, vo maanjaaega,
Vo maanjaaega.
Kal kudha,
Bahatar halat laayega,
Tu bhi usme khushi se muskuraega,
Aur vo bhi kisi aur ke Saath Zindagi Ki kashti mai jhoom jaaega.
Tera bhi dil kisi aur ko aazmaaega,
Uska bhi dil kisi aur ka ho jaayega,
Dil maanjaaega
Dil maanjaaega.
Par asal sawal to yahi hai,
Ki kya dil vakay mai hi Man jaaega?
Ya vo mere mahboob ki mohabbat ke parvan chadkar
apana mustanad (authenticity) gavaega...
Wah Wah
ReplyDeleteMast