Kal ki baat

 _Kal ki baat,_

_Aaj ki barsaat,_

_Har mard ka_, 

_Eksa - alag ahsas_


Sarfarosh aashiq ke peeche,

Log hote hai.

Bevkoof husan ke peeche,

Ghumta hai vo madhoshi mai.


Dil baichain hota hai,

Dhadkan hoti hai - dahleez ke nazdeek,

Khwab hote hai,

Khwahishat nhi,

Jaise parde to hote hai,

Par paigam nhi.


Tum kya inn ,

Uljhi hui baato ke peeche,

Ki Abhilasha ,

Samjh paate ho.


Nhi?na

Kyu?

Halat bahut bure hai, na

Aur insan unse bhi zyda,

Shaks,

Shaukiyat,

Aur shamsheer,

Daga de hi jaati hai,

Jab tavasum ke naam par

Hoto se teekhe taluqo ki talvare takrati hai.


Uphas hai ye tumhare liye,

Sawal hai ye mera.

Kya khas hai,

 Vo husan ya haseena ?

Uska kirdar ya uska chehra.


Mard- Mard hota hai,

Aurat aurat,

Jo ek ka hokar bhi,

Sau ko apni nigaho se nanga kar de,

Aur vo jo ,sau chahne vale hone ke baad ,

Bhi uss ek se ko hi apna aap kushi se saup de.


Koi bekirdar hai

To koi bevkoof.

Kaun kahta hai?

Ki har ek mard aisa nhi hota,

Ye samaj hai ,

Ki vo iski zanjeero ko hai  sahta.


Jaan aur jasbat , 

Dono se khelne ka,

Jasba rakhta hai insan,

Aur mard to vaise bhi ,

Vo jaat hai, jo, bewafai karke, 

bhi saamne vale ko sharminda karde,

Uske to mansoobe hi hasas hai, 

Jo hasarat ki gumnami  mai,

Hararat ko bharde.


Sahil aur sanam,

Dono Dainik hai, 

Par raato ko dono ,

Darvaze par dastak dekar,

Bahar hi so jaate hai..


Mai maan rhi hui ,

Mera sanam,

Abhi mera hai,

Par kya kalko,

Bhi 

Vo mera hi rahega?


Iska vaayda to vo kudh bhi nhi kar sakta?

Na


Chalo jaane do, 

Jaan jab uski hi hai,

Aur jasbaat bhi,

Bheetar ke khalipan ,

Ko bheed ki giraft mai samane aane to do,


Mard mard hota hai,

Aurat - aurat,

Hote dono hi insan hai,

Ek samaj ka nirmata  mana jata hai,

Jabki dusra , asal mai samaj mai rahkar, 

Uska palan poshan karta hai, bankar uska bhrata,


Vaqt vakiyat badal rha hai,

Vidroh vakalat mai halato ko kas rha hai, 

Mard - aurat ki bhedh ko,

Bhavnae aur badnishe, Jalati hai,


Aisa nhi hai mard ko aurat ki yaad nhi aati,

Bass ek ki nhi aati,

Ho sakta hai kisi ek mard, ko duniya ke kisi kone mai aati bhi ho,


Par shayad ab tak uski mardangi par shak ho chuka hoga,

Aur vo apni merdangi ka certificate samaj ke bheetar kho chuka hoga.


Leeza

Comments

Popular Posts