Raato ke ruyase

 Raato ke ruyase 


1) Raasto par faili dhool,

Andhero se gahre usool,

Aazmaaisho mai alsaya fizool,

Aur ashiqi mai kayal mahboob....

Jasbaato ke jahazo mai yuh safar kar rhe hote hai,

Ki farishte bhi unhe apni fariyado fakr se yaad kar rhe hote hai


 2)Tu mamooli hoga uss duniya ke liye,

Jiski chakki mai tu roz pista hai,

Mere liye tu vo chaand hai,

Jo Eid ke din bhi didare-nazm ke liye albatta hai.

3)Yuh nazare naa fer liya karo,

Yuh raahe na  mod liya karo,

Yuh baatein na band kiya karo,

Yuh kahna sunane mai  betakaluffi ke bahane na khojh liya karo,


Dard nhi hota,

Bass ek baichaini si bistar mai mere Saath so jaaya karti hai,

Na neend achi aati hai,

Aur fir aankhen bhi nam ho jaaya karti hai.


4)Saath kya nibhaoge,

Jab apne saathio se na mulakat karva sake,

Mohabbat mai makbara kya banvaaoge,

Tum to yaado mai bhi ab hame ho bhula chuke....


5) Hass diya karo,

Ya ro diya karo,

Jo dil mai ho vo kah diya karo,


Mera man lag jata hai tumhari sunane mai,

Baaki sab to apni kah hi rhe hai,

Beech raaste mai musafiro ki tarah tu unhe bhi guzarne de ,


Tum na bhi kaho to, 

 tumhari nigahe kah diya karti hai Aajkal,

Tum Na bhi bolo to tumhari muskan bhi Jasbaati dhang se banti bigadti hai Aajkal,

To chupa kya rhe ho?


Apna gam ya apne gunah?

Apni aazmaishe ya apni panah?

Apne aap ko ya fir apne iss nye andaaz ko?

Jawaab do jawab do! 


Leeza sharma

Comments

Popular Posts