Dil, dimag ya duniya?

 dil, dimag ya duniya?


koi tujhe zara ek nazar utha kar to dekhle, man karta hai muh tod du uska aur tujhe ab bhi lagta hai ki mujhe pyaar nhi hai. bardaash nhi hota, tera kisi aur se baat karna. mai na kardeti hui to kya vo sachme na thodi na hoti hai. dukh hota hai dil ko mere, dimag uss dukh ko kam karne ke liye na jaane kitne sailabo se guzarta hai, tu shyad ye umees bhi na kar sake.


mujhe pyaar hua tha, par ab pta chal rha hai, ki kitna mushkil hai uss pyaar ko dil se jeena. aisa pyaar to koi bhi karle, jisme bhavnao ko marodkar, samvednao ka katal kar diya jaae, dil ko dimag chup karke sahla deta hai, aur kah deta hai ki, "suno, nhi vo tumhara hai, aur vo tumhe dokha nhi dega, vo tumhara hi rahega "


par dokhe ka kya hai? vo to mai roz kudh ko dediya karti hui, to agar vo mujhe dokha bhi na de to,  kya mera dil nhi  dukhega? jab vo dusro se baat karega, ya kisi aur ki kahani apni zuban se byan karega, ya mujhpar kam dhyan dega. kya sirf sachme, dokha hi pyaar mai dukh deta hai? saamne vale ke maujood hone par bhi akela mahsoos karna ha kuch bhi aur jo uske aur tumhare beech mai barhali laae, aur aazmaisho ka manjar ban jaae, kya vo dukh nhi dega?


ho sakta hai, tum ek bahut samjh dar aur sensible insan ho, par agar tumhe jalan nhi hoti, to kya tumne, sacha pyaar kabhi kiya bhi hai?


pyaar mai pagalpan hai, kahanio aur cinema ki tarah, bass asali kirdar samaj aur samjhdari, ka vyakhyan karne ke chakkar mai, uss pagalpan ko daba lete hai. samvednae, samaj ke anusar bass murkho ka hathiyar hoti hai. isliye samjhdar banane ke chakkar mai, ham hasna, rona, mahsoos karna, pyaar karna, tak bhool jaate hai.


agar kagaz aur kalam aashiq  hote na to fir pakka kitab samaj bankar, syahi rupi samvednao ko bahne nhi deti aur kalam hamesha apne bhavo ko dabae rakhne ke karan chu jata , par mujhe to iss baat ka bhi dukh nhi hai.


dukh to bass iss baat ka hai,

ki pyaar itna haseen kyu nhi,

 ya mai iss samjhdar samaj ki ek nakamyaab lekhak hi rah gyi,

jo pyaar ki in barikio ko samjhne mai asafal hai,

 shayad is duniya ka pyaar mujhe samjh na aae,

par uss lok ka pyaar,

jo murdo ke sir par hai sawar,

use mai ache se pahchanti hui,

isliye nhi kyuki murdo mar chuke hai,

bass isliye kyuki mai bhi insan ke shareer mai kaid ek jasbati lekhak ki ruh ka akas hi hui,

isliye mai bhi marne ke liye besabar si hui,

iss lok mai to sache pyaar ki talash mai,

sirf  gumnami milti hai,

kya pta marne ke baad,

murdo mai shumar hokar,

thodi maut bhi mil jaae,

 aur apne mahboob se ek  aakhiri mulakat bhi.



Leeza

Comments

Popular Posts