Tu ek shayar hai par tu insan jaisa kyu dikhta hai

 tu ek shayar hai, 

par tu ek insan jaisa kyu dikhta hai? 


Tu akas mai mere, 

Dilfaroshi ki aarzo ka tastara bicha de, 

tu gumnani ke gam mai, 

murdo ki shaan saja de, 

Tu banjar basti mai, 

shabado ka sailab baha de, 

tu shayar ki jholi mai, 

bass qadrdani ki khairat dal de. 


jisase syahi aur gam besukooni se bahte rhe, 

aur ek shyar ki bhook barhali ka aks sahti  rahe, 

par fir bhi rona mat, tu

na hona tu udaas, 

aaj nhi to kal, 

teri shayari par bhi hoga iss duniya ko naaz, 

par tu hairat mat karna, 

kyuki bekadro ki kami nhi hai mashre mai. 


tasaali se taufeek ki chadar ko odhkar sojana, 

kyuki tu ek shayar hai,

aur teri ruh ko mila hai parvardigar se pinjare kholne ka raaz, 

to agar kal ko faut bhi hoga,

to murde mai bhi tu apni kala ke liye jaana jaaega, 

aur jahnum mai bhi tere jasbe ko hunar ke hamad se saraha jaaega, 

Teri ruh hi jab shayar ki hai, 

to tu insano mai kyu rahe? 


tu ek shayar hai, 

bhool mat jana, 

tu iss duniya ka nhi, 

uss lok ki ruh hai, 

vo lok jo logo mein farak nhi karta, 

vo lok jo lakho ke liye, 

lasho se farmaaishe nhi karta, 

ye insan mamuli hai tere saamne, 

ye paiso ke liye apna pesha badal deta hai.


 

tu zaat ka nhi,

hunar ka ameer hai, 

tu shakal ka nhi, 

jasbato ka jaheen hai, 

tu mera nhi, 

apne kalam ka wajab ul ada(dendar ) hai, 

tu khudha ka bhejha hua, 

iss kaaynaat ko insan ke huliye mai pyar hai. 


tu ek shayar hai, 

tu yakeenan ek  shayar hi hai, 

kyuki tu duniya ke nazariye ki parvah nhi karta, 

tu dardnaak jasbato ki satah ko cheerne se nhi darta,

tu ek insan nhi ho sakta, 

tu vakay mai hi aam nhi ho sakta,

kyuki tu mahroomio se darta kaha hai ab, 

tu to kudh apni kitab main kalam atkae, ek maksad ki talash mai hai. 


tu ek shayar hai, 

tu yakeenan ek  shayar hi hai, 

tu insan to nhi ho sakta,

tu vakay mai hi aam to nhi ho sakta, 

tu insan ke huliye mein chupa, 

parvardigar ka ek baharupiya sa lgta hai,

tu shayar hi hai na,

par fir tu insan jaisa kyu lgta hai?

Comments

Post a Comment

Popular Posts