Wakalat ka waqt

 wakalat ke wakt


Kasbo aur kahaniyo ki satah mai ujade baitha hai, 

maine ek wakeel aaj aisa dekh hai, 

apane kalam ko baste mai daale, 

apni kitab ko bus mai khole, 

vo bahut kuch aisa kah jata hai, 

bina bole aur bina muh khole vo sab kuch sah jata hai, 

jo duniya sunane ke liye besabr nhi hogi na aaj, na kal, 

par uska pesha to wakalat hai, 

aur uska peshai ghar to adalat hai. 


din, dopahari, aur tapti dhup  uske teen khas dost hai,

kitabe, chae aur chashma, uski teen mahboobao mai shumar hoti hai, 

par wakeel ko zindagi mai Shohrat aur paise ki nahi,

sirf insaaf ki intaha tak jaane ki hod hoti hai, 

agar koi izazat de to vo taufeek se gunehgaar ki giroh mai chaku ghop de, 

par hota to vo ek wakeel hi hai na, 

wakalat ke wakt ka ek wahiz mareez,

jiski ek maatr dawa hai, nainsaafi ki karna tufeek,

 jab tak adalat mai na ho ek aadh murda bhi shaheed.


Deen Duniya Ka Kya Hai, 

Ek Vakil ke liye to Kali Poshak Mein Baithe,

Uske kazi Ka Faisla hi falsafa hai, 

Mutalba aur mashre mai kya hai,

Ek Vakil to dusron ke Hak ke liye ladkar apni Roji Roti chalata hai, 

Gunagaar ko Bekasoor sabit karna ho, 

Ya Bekasoor ko gunagaar, 

Vakil Ke Paas har jakhm ka ilaj nhi hota, 

par vo gunehgaar ko apne kiye hue gunah par naaz zaroor karva sakta hai. 


vo to chahta hai ki mashra ka muntazeer apna mustakbil tabah karle, 

uski jee huzuri aur jebo ki tah bharne mai, 

aur gunah ki anginat seedhiya chadh ke,

wakalat ke waqt ho, ya adalat sakht ho,

ek wakeel kisi se darta thodi hai, 

Vinemrta ki vijay aur vartalaap ki satah ko vo chuh kar kahta hai, 

ki sun duniya, aaj Mai tujhe ek chunauti deta Hui, 

jab tak tujhme(duniya Mai) duniyadari rahegi, darindo ki kami nhi,

aur ye darinde hi to meri aamdani ka wahij zariya hai.


Mai to wakeel Hui, mujhe mukdamo ki nhi, gunaho ki bhook hai,

mujhe insaf ki nhi, naainsafi ka fitoor hai,

mujhe sacho se kya, mai to jhootho ke sath dandha karta Hui,

mujhe acho se kya, mai to khudh hi masjid mai jakar aadhi namaz padhta Hui,

mujhe Iman se kya , mai to kudh beimano ke liye ladta Hui,

mujhe bekasuro se kya, mai to kasoorvaro ki himayate karta huu,

mai to wakeel huu, mujhe wakalat se kya,

mai to har roz hazaro nirdosho ki lasho par pair rakhkar aage badhta hui. 



Comments

Popular Posts