Hargiz ye Har hi hai

Hargiz ye har hi hai 
Sab  poochte hai mujhse kya mujhe farak nhi padta?
Kya btadu aaj iss mashre ko sach ?
Ha padta hai farak , behhad , hargiz aur har lamha padta hai , 
Insan hui mai to azaad to nhi hi ho sakti ?
Ahsasat hai mere bhi , koi khak to nhi ho sakte vo bhi?

Reshe se banti bigadti hui , 
Har teesre din girti si uthati hui , 
Kya mera dil nhi karta? 
Ye sab chodh dene ka?
Kya mera dil nhi karta ?
Hatho mai sukoon , jeb mai garmhat aur hoto par muskan sokh lene ka?
Kya mera dil nhi karta?
Kalam se itihas likhne ka?

Par shyad uss kudhaya ne kuch to aisa socha hai mere liye , 
Jo main nhi soch paa rhi ,
Shyad vo mujhe mujhse bahatar janta hai , 
Jo mai kabhi nhi jaan paati , 
Shayad vo zyda bada karigar hain in oche aitihasic logo se  , 
Jo itihas ko ithihas ki tareeke se likhna janata hai, 

Kyuki har insan ki jeet hi to itihas nhi banti , 
Jaise bakiyo ki jeet , napoleon ki harke samne dam tod gyi , 
To kya vo jeete nhi the , ya napoleon hara nhi tha , 
Par sach to ye hai na janab 
Ki hunar ki har , jalimo ki jeet se zyda behatar hoti hai ,
Jiska shor un kano mai bhi hokar gunjta hai , 
Jo bhai batijavad ki bediyo aur Jan pahachan  ke jehado se roz kudhko pak saf karna chahte hai,

Par afsos  kar nhi pate , kyuki kuch dag jalado ko janam se jahez mai milte hai , 
jaise unko unki sharmanak shay aur mujhko meri Mubarak mat.

Leeza sharma 
(Zyda controversial to nhi tha na?)

Comments

  1. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  2. Ye itihas jaroor banega
    Aur maksad se usne bheja hai
    Wo bhi jaroor mukammal hoga
    The words are just incredibly put here by you. Keep writing without the fear of controversy (😜)

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular Posts