ishq , mohabbat aur pyar ke vyapar se kaafi upar..
Ahsas bhi ho jaaega
Nhi uska nhi
Na uski parvah ka
Kyuki ab mera rozgar beprvahi se chalta hai
Jo ishq mohabbat pyaar ka vyapar nhi karta hai
Kudhparasti ki khaaishoh mai andeshe se bharta hai
Haa vo meri chahat nhi hai, par vahi to mere jeene ka ek vahaz zariya hai
Bazaro mai nhi band kamro mai malal aur mayoosi ke sath mujhe roz raat vo sapno mai milta hai
Kalam aur kagazo ke beech kitabo ke badale hue rango mai dikhta hai
Chae ki pyaaliyo, suji Hui ungliyo aur binsoi chasme ke pare shauk se un kahanio ko satvi bar nihar rhe naino mai dikhta hai
Un naksho ki nakashiyo ki chamak jo hazaro sal peeche malve baha rhi thi unki badalti tasveero mai antasta hai
vo aaj bhi kam aazad to nhi?
Mai aaj bhi kam kaidi nhi?
Vo aaj bhi kam mazboot nhi?
Mai aaj bhi kam Kamzor to nhi?
Vo aaj bhi kam Kalpanic to nhi?
Mai aaj bhi kuch adhiktar vastavik si Hui?
Haa prashasan to mai zaroor sambal lungi
Par ruh to shayar ki hi hai , Jo meri kabar ke pas mari mili hogi?
Kya pta vakt mujhe badal de?
Par mai bhi to vakt ko badal sakti huu?
Seekhne, padhne aur likhna chahte thodi na hai,
Ye to vahaz zaroorate hai mere astitav ki
Nhi vo zaroorate nhi,
Jaise so jane ke bad neend poori ho jaati hai
Par ye to vaisi zaroorat hai
Jiske adhoorepan mai hi atlafi hai
Aur inki zaroorat vakt nhi
Wajah dhundhti hai,
Aur vo wajah jasbat ki bhuuki hoti hai
Na ki jayadad ki
Jaise kabhi mai tumhari aarzo mai hoti Hui.
To.kabhi tumhare khayalo mai
Aur jaise kabhi tum meri ruh mai hote ho
To kabhi mere kagazo mai
Par kal to mai kagazo ko. Bhi aag laga gyi
Kyuki kuch cheeze kaid karne ki mohtaz nhi hoti.
Na kagazo par aur na kaidkhano mai,
To fir karliya usne bhi apna safar tay
Aur bik gyi vo us bazaar mai,
Jaha ishq mohabaat aur pyar ki boli nhi lagti
Par vo to khairat mai milti hai
Are aajkal inke vyapar mai munafa kaha hai,
Ye to ghate aur galibo ka hi kam rah gya hai,
Isiliye kal mai uss bazaar mai apne jeene ka vahaz zariya bech aai
Nhi uski mohabbat nhi, mera guroor!
Isiliye kal sar jukhakar chal rhi thi
Vo asal mai na to Jeb bhari aur ruh to vaise hi khali thi,
Isiliye har roz ek janaze par jaakar ronak dekh aati Hui
Aur kabaristan mai bhi sabki khairiyat pooch aati Hui
Ab to mare hue murda bhi apni dawat ka nyota bhejh dete hai
Aur zinda murde aur mare hue murde mai zyda farak kaha hai ab?
Kamskam mare hue dusre mare hue ke sath mast to ho sakte hai
Zinda murdo ko to ruhbhashi sahi tareeke se laparvah hone bhi nhi dete
Kyuki jannat aur jahnum dono ko to mai ache se Jan chuki
Isiliye aajkal mera
Bass kabristan mai aana jana hai
Aur kabro se milna milana hai
Baaki tumhe milna ho to
Kafan pahan karr vahi chale aana,
Bas ruh bakshi mat ban kar aana is bar
Hosaktle to narbhashi mai tapdeel ho jana!
(Ya nar hasti mai?)
Leeza sharma
💯💯
ReplyDelete🙌💜🙌
ReplyDelete