BHAVHUK DARSHANIK – VIRODHABHAS [ANTITHESIS]

BHAVHUK DARSHANIK – VIRODHABHAS [ANTITHESIS]
(Ye ek hindi story hai, par sahuliyat ke liye hinglish ka prayog kiya gya hai, dhanyavaad) 
Aksar , halaki, hamesha ya zydatar aap aur hamne suna hoga ki darshan padhne vale log bhavo se kuch milo ki doori bana lete hai aur apani chetnashakti ke nikat pahuch jate hai | Antral kuch samay bad unme se kuch antral log jo darshan ka adhik adhyayan kar lete hai ve apne aapko darshanik kahne lagte hai chahe samaj unhe aadami yogay bhi na samjhe | vinod bhi unme se hi ek tha | asal mai vinod ka janam to rajasthan ke ek chote  se gaav ganganagar mai hua tha parantu uski shiksha dilli mai hui thi| to jab bhi vah chhutti lekar gav main apne mata pita se milne vapas lautata to vah unhe apna kitabi bhavheen darshan samjhane bhaith jata | vinod ki choti bahan ki chah varsh mai animiya ke karan mrityu ho gayi thi| jiske liye vinod ne ek bhi peeda ka aasoon bahaya tha uske hisab se ek din sabko marna hai |fir vinod apni roti bhilkhata maa ko kahta hai- sabki mrityu nishchit hai chahe vah koi bhi kyu na ho , mrityu jeevan ka ek yatharth satay hai, aajkal ki peedi jeevan ke sach ko manane se katrati hai, yahi karan hai ki bharat pichdha hua hai aur dakhani desh hamse aage hai|anpadh maa ko vinod ki ye baten kaha samjh aati vah apne aason pochkar , usi bhhatti mai bhabhakte hue chulhe ke pas apni rozki mazdoori karne bhaith gyi|
Vinod kuch dino baad chhutti khatam hone par padhne dilli vapas laut gya| ek din usase rasten mai ek bhikhari bheekh mang rha tha – 
bhikhari- bhagvan ke nam par kuch dede baba|
Vinod -bhagvan hote hai iska kya praman hai tumhare pass?
Bhikhari - bhagvan hote hai iska to koi praman nhi hai, par tum ye btao nhi hote, tumhare pas iska kya praman hai?
Vinod- ab tak vaigyanik aur darshanik dono bhagvan ke astitav ka koi praman nhi khojh pae hai| arthat bhagvan nhi hai |
Bhikhari-  iss tareeke se to parlok , jannat , jahnnam ko bhi nhi manana chahiye| Par insan to vohi prani hai jo jahnam ke dar se sansar mai badnami bhare kam aankh kea age ya aankh ke peeche karne se bachta hai | jeevan ke bad hone vali jeevan ki yatnae use yaha bhi shanti se nhi jeene deti , ab bhagvan  jane kya sach hai | par hai bhi ya nhi iska bhi sach tay nhi hai tumhare hisab se to, to fir mai ispar kya hi bahas karu |
Vinod – ek mamuli insan ki apni manostithi aur ruchi hoti hai ki vah kya mane aur kya na mane, par ek darshanik to ek bhavheen samaj ki sathapana karna chahta hai ? kyuki bhav bhi kisne hi dekh hai ?
Bhikhari- iss tareeke se to sabse pahle to ek darshanik ko iss bhav se heen hone ki aavshayakta hai ki iska kya praman hai ki uske itne darshan ka adhyayan  kar liya hai ki vah darshanik kahlane yogay ho gya hai ?
Vinod ekdum se sakpaka gya aur ekdum se vichar karne laga ki jiss Vishay ka usne itne varsho adhyayyan kiya hai vah vastav mai darshan hai bhi ya matr ek khokhli manyata hai . vastav mai vinod jo apne aap ko darshanik samjh rha tha vah iss bat par chintan karne laga par vah fir bhi apne vicharo se itna adhik grasth tha ki vah matr apne vicharo ko hi anant manta tha| aksar halka sa ya na ke barabar avlokan aur gyan ka darshan karne vale vyakti yahi mante hai ki une bhramandh ka sampooran gyan hai  , par vah gyan bhi bhav vimukh  hota hai aur  jis gyan aur darshan mai ras  naho vah mastishk ko khol sakta hai, par hridya ko kabhi bhi priya nhi lag sakta|samaj ke darshanik-bhav vimukh ,gyani-ahitkari , gyanheen aur aprayogik roop se vivekporan to jan padte hai par unka vivek matr kataksh karne ,bahas karne aur vivad karne ke yogay hi hota hai|pustako ka gyan vayo mai milke agyan aur kagazo ke shabad hoto se nikalkar kadve anubhoot hote hai jinka istemal matr apni baudhik prathamikta ka praman dene ke liye hi kiya jata hai|
manushya dakshin se das aatam satyapan [self validation] darshanik ke dwara likhi pustako ko padhkar santavana ka sanshodhan karne chala aata hai aur yah karke vah savyam ko mahantam darshanik hone ki upadhi bhi de deta hai ye jane aur bhujhe bina ki darshanik ka kam ras-heen jeevan ko yogay banana hai|jabki vah manav ko apna bhav vimukh darshan padhakar use kudhkhushi  karne par majbur kar dalata hai jiska karan hota hai unka apne dukh ko na vyakt kar pana| isase behtar to khushi se dukh ka raag alapana hi tha|ek puritan ubau darshanik manav se uski muskan cheenkar use mastishk mai magan rahne vale gambhir vicharo ko thama kar kudh bhi hasna bhool jata hai| Aur  dusro ko aankh mai ungali dekar rula deta hai aur rote hue ko gyan vimukh darshan ka path padhakar ek do chote mote bhaya ka aakraman[panic attack] dene mai bhi safalata  paa jata hai?
Vinod sahasa apne Vishay darshan ka aakhiri parcha likhkar jab ghar vapas laut rha tha to usane ek bus ke pas baithi ek budhiya ki aankhon mai ek heenta ka bhav dekha, vah nhi janta tha ki vah kis se heen hai darshan se ya bhav ya fir apne sampooran jeeevan se isliye usne usase sval kiya? Kya hua amma? kuch bachain si dikhti ho . budhiya ne bole-6 aane ki ticket li thi gav jane ke liye, pote ko bhukhar hai , chali to jaau par matar char aane bacha hai, shahar se uski dawa bhi lekar jani thi , davai dass aane ki aayegi|vinod ne uske hath mai das aana thama diya | vinod vah paise  kafi samay se vad vivad  ki pratiyogita mai jeet kar darshan ki kuch pustake khareedne ke liye jama kar rha tha|par vah janta tha ki yaha uss budhiya ko dass aana dekar usne vastav mai adhik manviy darshanik gyan hasil kar liya hoga jitna vah vishav ki sari darshanik  pustako se bhi na kar pata aur sach to yahi tha ki vad vivad pratiyogita jeetkar bhi usasne kabhi itna manviy darshan na seekha hoga jitna darshan vah uss budhiya ko dass aane dekar anubhav kar paa rha tha, uss din| uss pahli bar mahsoos hua darshan padhne ya adhyayan matara ka Vishay nhi hai par jeevan ka vishay hai, jo uske professors usase aksar kaha karte the , par uss din vah unki ye bat yatharth mai anubhav kar pa rha tha|
Budhiya ne use aashirvad diya- bhagvan tumhara bhala kare|shayad aaj bhale hi budhiya ka pota mar bhi kyu na jaae par fir bhi bhagvan vinod ka bhala karenge bhale hi sare vaigyanik aur darshanik bhagvan ka astitav khojhane mai nakam hi kyu na ho gye ho aur maut vastav mai aaj yatharth hokar bhi vinod ke liye jeevan ka yatharth na rahi kyuki aaj vinod ko ek jan ke bachne ki umeed bhavheen darshan ke ras-heen adhyayan se adhik tarksangat v mahatavpuran jan padhti hai|jabki vah janta tha ki ant mai use bhi darshan padhkar marna hi hai aur uss budhiya ke pote ko bhi marna hi hai chahe vo budhiya se pahle mare ya badme par bass farak itna tha ki  aaj vinod ko uss budhiya ki bhav heenta kam pasand aai isliye usane aaj man liya ki uske das aane dene se astitavheen bhagvan uska bhala karne mai  bhi sambhav honge aur uske pote ki mrityu ko aake khiskane mai bhi| {AUR YAHI HAI ASALI DARSHAN , ISLIYE ASLI DARSHANIK VINOD NHI VO BUDHIYA HUI, JO USE BIN SHULK JEEVAN KA VAASTAVIK DARSHAN SIKHA GYI}





BY LEEZA SHARMA

Comments

  1. Woah it really was amazing
    The real meaning of philosophy and God beautifully showcased through a story.

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular Posts