GAM-E-MUKAMMAL

GAM-E- MUKKAMAL

Jeet to ho gyi jiski honi thi 
Aur ham gam manate rah gye 
Par mujhe dukh nhi hai in bato par gam manane ka
Kyuki kuch gam mujhe meri shaksiyat se rubaro kara dete hai
Aur akhiri mai to main ek insan hi hui
Aur insan hi hui to aam hi hui
Aur kyuki mai aam hui to shayad kam ki hui
Aur isliye shayad mera gam ke godano mai aana aksar laga rhata hai 
Par sukoon ke shayast bhi to shayad gam ke godane se hi guzar kar bahte hai
To jab tak shayad gam-e- mukkamal na ho
To sukoone-e- shaukast kaise mukkal kaha jaaega
Diwano ki basti mai ek aadh to mara hi jaaega
Banjaro ki basti mai ek aadh to yuhi kho jaaega
Aaj meri bari thi
To kal ko tumhara bhi number aaega
Aaj mera matam tha 
Par kaunsa parvardigar tumhe baksh ke jaega?

Comments

Popular Posts