MUJHE CHAND CHAHIYE

Mujhe chand chahiye
Mujhe itminan chahiye
Mujhe tumhare aasoou ka aakhiri katra chahiye
Mujhe Sare bazar  mai, tumhara ikrar chahiye

Mujhe tufan ki aandhi mai tu salamat chahiye
Har roz ki bhag daud mai tera sath chahiye
Subah sham dophar aur vakt ke aakhiri pahr bhi,
tera paigam chahiye

Mujhe chand chahiye
Tumhare hoton par haseen ka khandhan chahiye
Andhe andhore mai tera hath chahiye
Jagmate sitaro mai bhi tera ahsas chahiye

Iktafaq se bhi jo ankh mile to salam chahiye
Der ki subah ki chae mai tera pyaar chahiye
Rat ki jhapki mai tera khayal chahiye
Duniya ke shaq ke beech tera vishwas chahiye

Mujhe chand chahiye
Mujhe chand ke huliye mai teri mulakaat chahiye
Kuch sal intazaar karne ke baad
Ghodhe par teri baraat chahiye

Sas le tu aur mai jee uthu
Aisa mujhe mujhme tera vas chahiye
Mushkil vaqt ke malalo mai,
Tera sirf tera andesha apne paas chahiye

Mujhe chand chahiye
Uss bramandh mai tera prakash chahiye
Aatama ho yu meri
Jisme Tera nivas chahiye

Gulab khile mere bhageeche mai
Tulsi ho meri mahak, tu kapas chahiye
Kavita  bankar mai likhi jaau
To tu hi mera upnayas chahiye

Mujhe chand chahiye
Padhu jo kitab mai, to tu itihas chahiye
Jan ho meri,
Ruh mai tera aabhaas chahiye

Fool hou jo mai,
Uski khushboo mai tera vaas chahiye
Jeetun jo sansar mai.
To tu mera taz chahiye

Mujhe chand chahiye
Mahnat jo karu mai,
 to tu hi mujhe prayas chahiye
Beech beech yuhi, kai baar ye anayas chahiye

Sansar jo kal ko chodhu mai,
To tu hi mujhe sanyas chahiye
Pani ki zarurat ho,
To tu hi meri pyaas chahiye

Mujhe chand chahiye
Sab ho aam jo
Tu khaas chahiye
Khudhko jo dhundho mai,
Pau tujhe aisi talaash chahiye

Zameen jo hu mai
To tu aakaash chahiye
Kartavya mai hou
To tu avakash chahiye

Mujhe chand chahiye
Mujhe chand hi nhi tere sath bramandh chahiye
Nam ho aakhe meri
To tu ho ulaas chahiye

Kali hou jo mai
To tu gulab chahiye
Hakeekat hou jo mai
To tu khawab chahiye

Mujhe chand chahiye
Mujhe chand sang aaftab (sunlight) chahiye
Mai huo jo aaam
To tu lajawab chahiye

Hou jo kharab mai,
To tu khitab chahiye
Hou agar nirash mai
To tu mujhe kamyaab chahiye

Mujhe chand chahiye
Bhulo jo khudhko mai
Mujhme mujhe tera andaz chahiye
Mohabbat ho to beintahaaaaan ho
Yahi bass , yahi ahsas , aaj kal aur har baar chahiye.

Leeza sharma

Comments

  1. Behtareen ❣️❣️

    ReplyDelete
  2. Creative as hell , couldn't understand few words tho.

    ReplyDelete
  3. “Raat ki jhapki mein tera khayal chahiye “ this line❤️

    ReplyDelete
  4. Yaar kya Khubsurat tariko se Likha hai 🫠😳 Waaaah…. sabdho ka istmaal kafi sundar tariko se upyog kiya gaya hai😃🥰

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular Posts