Barish ka ek aadha sa pura haraf (soye hue shayar ki zubani)

Barish ka ek aadha sa pura haraf (soye hue shayar ki zubani)
 


Jab barish hui khoob
To mausam bana Mahbaoob
Thandi thandi hawayaon ke darmiyan
Gul khilein pursukun


Mashra chehka aarzo se
Adhera  hui  mashdood
Kaifiyati harf ki yuh  uljhi
Ki khile murjhae hukoob

Khilte khilkhilate aasman mai
Gat begat hua ishq ka jaloos
Antral hi narmi se
Chahak utha bekhayaali se mohabbat karne ka junoon

Kafira laga shayaro ka
Chadar sa khula sandook
Toote dilo ki batein yuh bichi mez par
Ki syah ho gya dastoor


Salvar kameez ki byore mai
Dupatte ki chali bala vali bandook
Aaine mai jab usne khudhko dekha
To mahboob bana majboor

Halka  halka ujala yuh hua
Ki khatam ho gye vasvase almaaeda
Band kaido mai jo lage the tale yuh
Uss lekhak ne bhi likh dali ek aadh harfe khatam karke apna guroor

Jo vakeel kabhi bolne ko katrate the
Unki zubano se bhi chand byan baziya yuh hui sawar
Unn sulemano se  ,
jo har baar saaf safed aur sayah hokar,
jab dekho tab sach ka katleaam rachte the , sareaam fir bhi antasta

Likhne ki chahat vale kuch so rhe the uss dophar,
Par  jo soya hua shyar tha
Vo uss din jaag khadha tha apne kaidkhane se nikalkar
Aur tyaar tha  barish ke harf mai bikhakr


Kya kahne ko?
Bass yahi ,
Ki kabhi kabhar ya shayad khwaab mai to har baar

Mai barish sa bahna chahta huu
Mai pani se kahna chahta hui
Mai beejli sa chamkana chahta huu
Aur apne mahboob ka hokar pursakoon yuh kisi din mar mara jana huu

Ki uss Orr aur iss orr
Mai harf ka bhi farak na ho
Kisi aur orr
Ho to jo ho yahi ki
Maru agar har pahar mai
To meri ruh mai se jinda ho mere mahboob ka har vo daur


Ki bigdu mai
To bane vo bataur
Ki sayah jo mai hou
To apne mahboob e mohabbat ke marz mai
Katil e kaifiyat ke farz mai
Mushkil e mashre se taras mai
Par vo jo Vakt ke vasvaso mai vayast the

Vo aae

To  chahe ek aadh ya aadhi si ek puri baar,
Mariz ka hal hi puch jaae,
chahe zinda ruh se puche ya khatam lash ki tafsheel kar jaae

Par vo aae
Chahe fir vo laut jaae

Chahe fir vo kabristaan
Tak use kandha dene tak na jaae
Par mariz ka marz to jaan le
Fir chahe use dobara kabhi na awwz de

par vo aae ,
(aur apni aadhi si mulakaat   ek baar to puri kar  jaae)

By
Ek soya hua  shayar

Comments

Popular Posts