Lekhak hui isliye sirf insan nhi [ ASEEMIT HUI]
Lekhak hui isliye sirf insan nhi [ ASEEMIT HUI]
Kala ke bhukhe narak mai
Mai rachna ko aaag laga dungi
Hawas ke jhoothe tark mai
Mai vachno ko yuh jala dungi
Sare bazar , char somvar ,
Bikegi , banegi, bhujhegi , bategi
Fir khatam aur neelam ho jaaegi
Meri ungliyo ki aag
Mere dimag ka vo bhag
Mere chashme ka vo chirag
Aur mere dil ka vo dag
Tab koi aur likhega
Fir koi aur bikega
Manto ke muzrim , Shakespeare ki aaulad
Kalidas ke kankal , deendyal ka damad
Mahadevi ki mrityu, harivanshrai ke halat
Harishankar ki hatheli, sharad joshi ki santan.
Barni ki betabi, khusru ka khitab
Bhukhari ka bhukhar, jaun eliya ki awaz
Ibn ki ibadat, iqbal ki kya mazal?
Dharamveer ki dhara, aur amrita pritam ke aashiq imroz ki fir hui halat kharab.
Mai kaunsa alag hui?
Likhne ki chah rakhne vali
Paanch ungliya,
1 dimag , 1 dil ki hi to sanak hui.
Manti hui croro ko mera kam pasand aaega
Par mere kam karne ki prerna nhi
Janti hui tum bhi padhoge , fir aage badhoge
Par kabhi paltoge nhi
Kaunsa mai tumhari zimmedari hui
Kaunsa mera likhna krantikari hai
Kaunsa mera kalam janhit mai jari hai
Aur vaise bhi tumhe to social media par vakt barbad karne ki bahut badi bimari hai [reels dekhkar]
Lekhak hui , rachnatmak to houngi
Par manoranjan ke liye nhi likhti
Lekhak hui , to rato ko jaagti bhi zaroor houngi
Par din mai bhi chain se so nhi paati
Rato ko kalam jagata hai,
Din mai samaj
Shamo ko kitabo jagati hai
Aur dophar mai mere kudh ke halat
Shantanu banana ki hod mai
Shakuni mat ban jana
Kaviyo ki daud mai
Insan ho ye mat bhool jana
Kabhi rato ko so bhi jana
Kabhi din mai susta bhi lena
Kabhi dophar mai jhapki lelena
Aur kabhi sham mai masta bhi lena
Lekhak hui bhagvan nhi
Lekhak hui haivan nhi
Lekhak hui par anjan nhi
Lekhak hui isliye sirf insan nhi [ASEEMIT HUI].
Dhanyavad
Nice๐
ReplyDeleteJusss awesome ๐
ReplyDelete