Khali Kalam
Khali kalam
1) Tumhe maut chahiye
Mujhe kirdar
Tumhe pyaar chahiye
Mujhe izhar
Tumhe log chaiye
Mujhe jasbat
Tumhe janaza chahiye
Mujhe jawab
2) ishq ki aandhi mai
O bawre
Tu bhi ishq na karna
Bekusooni mai tu
Jisam na padhna
Aankh ka andha
Ban bhi jaae Tu
To dil ka mat banana
Zaban meethi rakhna
Dimag ka tu dhandha karna
3) Poshake kali ho
Aur ruh ho lal
Syah kagaz ho
Aur safed ho kuran
Hara mazhab
Aur khush ho parvardigar
Hot gulabi ho
Aur dimag ho tera kharab
4)band darwazo ke peeche ,Andheri galiyon ke neeche
kyu sannate hai sote?
Khidhkiya jab khuli ho
To koi nhi dekhta
Insan jab tang ho
To koi nhi sunta
Dil jab uske paas ho
To dimag nhi chalta
Beyakini ke manzar mai
aitabar ka surag nhi jalta
5) Kartab to mai kar dikhaugi
Aaj nhi to kal
Chali to mai yuh jaaugi
Yuhi mere hamsafar
Tumhe lagta hoga
Aksar,
Ki kaaydo ki pakki nhi hui mai,
Par yaad rakhna,
Zillat bardaasht bhi nhi karti hui mai
Ho sakta hai ek aadh baar,
Ki mohallat par chodh du tumhe
Par yaad karna vo ek aadh kabhi do na hoega
Kho diya tumne jo mujhe iss bar, sharmindagi ke alava tumhe koi dusra jasba na hoga
6) Kirdar kirdar ke nam Par
Katil ban jaane ki bhookh hai mujhmai
Karigar nhi hui mai
Par dusro ke kartabo ki taskari karna ka bahut shauk hai mujhme
Seedhe lafso mai nhi
Jasbato ke aaine mai tarasho
Mai tumhe hamesha saaf dikhungi
Maut ke bad bhi katilo ka insaf bankar bikungi
Mana kagaz ki aur kitabo ki qayamat hui
Par kaanch ki chot to nhi
Mana tumhari mohabbat ki banwat hui
Par mujhe koi afsos to nhi
Katil Mai bhi hui
Katil tum Bhi ho
Mai Tumhari tanhai ki
aur Tum Meri bhalai ke .
1) Tumhe maut chahiye
Mujhe kirdar
Tumhe pyaar chahiye
Mujhe izhar
Tumhe log chaiye
Mujhe jasbat
Tumhe janaza chahiye
Mujhe jawab
2) ishq ki aandhi mai
O bawre
Tu bhi ishq na karna
Bekusooni mai tu
Jisam na padhna
Aankh ka andha
Ban bhi jaae Tu
To dil ka mat banana
Zaban meethi rakhna
Dimag ka tu dhandha karna
3) Poshake kali ho
Aur ruh ho lal
Syah kagaz ho
Aur safed ho kuran
Hara mazhab
Aur khush ho parvardigar
Hot gulabi ho
Aur dimag ho tera kharab
4)band darwazo ke peeche ,Andheri galiyon ke neeche
kyu sannate hai sote?
Khidhkiya jab khuli ho
To koi nhi dekhta
Insan jab tang ho
To koi nhi sunta
Dil jab uske paas ho
To dimag nhi chalta
Beyakini ke manzar mai
aitabar ka surag nhi jalta
5) Kartab to mai kar dikhaugi
Aaj nhi to kal
Chali to mai yuh jaaugi
Yuhi mere hamsafar
Tumhe lagta hoga
Aksar,
Ki kaaydo ki pakki nhi hui mai,
Par yaad rakhna,
Zillat bardaasht bhi nhi karti hui mai
Ho sakta hai ek aadh baar,
Ki mohallat par chodh du tumhe
Par yaad karna vo ek aadh kabhi do na hoega
Kho diya tumne jo mujhe iss bar, sharmindagi ke alava tumhe koi dusra jasba na hoga
6) Kirdar kirdar ke nam Par
Katil ban jaane ki bhookh hai mujhmai
Karigar nhi hui mai
Par dusro ke kartabo ki taskari karna ka bahut shauk hai mujhme
Seedhe lafso mai nhi
Jasbato ke aaine mai tarasho
Mai tumhe hamesha saaf dikhungi
Maut ke bad bhi katilo ka insaf bankar bikungi
Mana kagaz ki aur kitabo ki qayamat hui
Par kaanch ki chot to nhi
Mana tumhari mohabbat ki banwat hui
Par mujhe koi afsos to nhi
Katil Mai bhi hui
Katil tum Bhi ho
Mai Tumhari tanhai ki
aur Tum Meri bhalai ke .
Leeza
Comments
Post a Comment