Anishchitta- Manushya jeevan ki seema aur ananta

Anishchitta- Manushya jeevan ki seema aur ananta


Ye Maut hai, haa ye maut hi hai. Mai rozana marr rhi huu, har tareeke se, par galat tareeke se to nhi. Bhale hi ye ek maut hai, par maut hokar bhi ye ek aisi haseen maut hai, jiske baad mujhe shayad hindu dharm mai tirth sthan aur islam mai hajj karne ki zaroorat aur zayasta nazar nhi aati. Mai unn dono ki prathamikta par sawal nhi utha rhi,  par iss prem sambandh ke pawan hone ke nakshe par bhi prashan uthana ab laazmi na hoga. Vo alag baat hai ki ye prem sambandh antath, prem vivah ka rasta tay kar paaega ki nhi, par iss bat mai koi kami nhi ki mera premi lagbhag roz mere sapno mai aata hai. Isase zyda mere prem ki sthirta ka mai kya hi parman du? 




Ye ishq nhi, na mai ise ishq banana chahti hui. Ye to Raja Ram ko Ma seeta se kiya jane vala prem sa maloom hota hai, par shayad mai itni pawan bhi nhi. Mai isme talleen to hui, par mai janti aur manti hui ki mujhe sab kuch karte hue bhi ek prithak bhav se hi aage ka safar tay karna hoga. Jisase mere premi aur mere raste vastav mai aage jakar yuh mile ki ham juda na ho paae. Prithak prem hi sabse uch prajati ka prem hai. Jisme premi about apna sab kuch jisase prem karta hai uske hawale karke, usase koi aasha nhi rakhta aur sirf upar vale par aankh bandh karke bharosa karta hai aur manta hai ki jo uska hai vo uska hi rahega aur jo uski takdeer mai nhi hai vo use koi nhi de sakta. Par kyuki mai apni takdeer nhi jaanti,isliye sahsa ye sambandh nibhati rahungi. 



Par kya varaigya kar paana itna aasan maloom hota hai? Mujhe to hargeez nhi. Varaigya vo bhi prem mai bahut kathin aur durlabh jaan padta hai par mera prem to sachmuch aisa hi hai. Kyuki antatah mai jaanti huu aur sachmain manti bhi hui ki mera prem hridya ka prem hai, to ise pana na pana upar vale, samaj ke numaindo aur hazar alag paristithiyon par nirbhar karta hai. Par isase mera prem karne ka adhikar hargiz nhi smapt hota. Mai prem karti hui to prem to karti hui rahungi na? Prem mai kya badha. Aur prem mai varaigyata bhale hi achi na samjhi jaae . Par sansar ne kab meri kamyabi par khulkar tali bajai hai aur kab vo mere sath meri nirashao par khukar roya hai aur mujhe dhadhas bandhai hai . Usane to sada se mere halato aur vifaltaaon par khulkar meri hassi khili hi udai hai. To mai usake hisab ka prem kyu hi karu? Mera prem varaigya(detached) hi sahi. Prem to hai.

mai jaanti hui aur maanti bhi hui shayad mera prem samaj ke prem kartao ke dawara prem ke darje mai bhi na aae par fir bhi mera prem koi pabandio aur bhashao ki paribhashao mai seemit kab raha hoga ? Vo mera prem hai to mera hi rahega, usme mera hi ek aadh ansh hota hoga aur jisase mai prem karti hui uska na bhi ho. Par shayad sach mai, mera prem isliye aisa varaigya hai kyuki jisase mai prem karti hui vo kaafi anishchit hai, to vo pura uska hi hai, ab vo mera kaha? ekdum manushya ke mastishk aur maanav jeevan ki tarah Anishchit. Anishchitta hi to uttar hai? Kya ye sahi aur sarvottam sa nhi nazar aata? Kya nishchita manushya ko manushya bana sakti hai, nishchita to manushya ko jeene yogy bhi nhi chodh sakti. Yadi manav ko sab kuch hi maaloom ho , vo sarvagyata, sarv gyani ho to kya vo swayam ko sarv vidhata nhi samjhne  lagega? Nishchita ke sath " Manushya ka Nash" Aata hai, sampoorn Nash . Jaise Anishchitta ke sath manushya , manushya layak ban jata hai . Par ye manushya layak kyu hai? Aur kya manushya layak banana praapt hai? Shayad nhi. 

Antath? Hamara aakhiri uddeshy kya hona chahiye? ye to shayad mujhe bhi nhi gyat. Kyuki mai aakhir manushya hi hui, sarv gyata to nhi. Par anttah sach to yahi hai ye aap mai se kisi ko bhi nhi pta , bhale hi aap mai se kaafi log ye sweekar na karein aur sab apne apne hisab se manushya ke jeevan ka koi ek aadh uddeshy bata de par kya manushya ka param uddeshy ye hi nhi hai ki vo anishchitta ke sath bhi jis  kary , jis lakshay, aur jis prayojan ko sabse adhik chahta hai uske liye varaigya ke sath kartavya ki disha mai aage bhadhta rahe? Aur ho sakta hai ki iss udeshya ko poora karne mai insan roz mrityu ke darshan karein aur antah mai use lakshay mile bhi  na par kya ye mrityu use rozana jeevit nhi karegi? Ya ye use roz chand aur sanse nhi degi? Kya ye use ek aur din fir usi utsah ke sath apne kartavya ka nirvah karne ka sahas nhi de paaegi? Agar nhi, to hargiz ye uttar galat hai. Par ye aap aur mai dono jaante hai ki yahi sahi hai, aur agar sahi nhi hai, to kamsakam sahi sa maloom to hota hi hai. 

 Haa aap mai se kaafi log mujhpar sawal uthaege aur kahenge ki abhi to maine udeshya ka na pata hone ko kaha tha, fir ekdum kaise mujhme itni samjh aagyi? Par 
 Maine safar ko hi aapka udeshya bta diya , kyuki antah mai bhi Ek Murkh manushya hi thahri jo aap sab ke bhati ek uchit sa uttar dene ke liye , pralobhan mai fas gyi. Yahi to hai manushya ki seemae. Antah, Mai roz marti hui par jeevit bhi to yahi karta hai. ( kya ? Sahi se uttar dene ka pralobhan? Nhi apne kartavya se varaigya prem karne ka dhrid sankalp) 


Leeza sharma 

Comments

Popular Posts