Madhyakaleen Masliyat

 Madhyakaleen Masliyat 

Kitabi bukhar hai mujhe, 
Kalam hi auzar hai mere, 
Astitv mera tu mujhme mat dekh, 
Itihas ka ek panna tu palat to
Badashaho ki khabar tu suna
Manzil na dekh tu
 sarfiro ka safar karne ka dhang to dekh
Koi padhta padhta pahar ginta hai 
To kisi ko ek janam bhi kam Lagta hai
Koi pagal ban nhi pta, 
Koi bana deta hai, 
Par koi to aisa hoga, 
Jo sachme pagal hai
aur vo pagal kahlata hai 

Mahaboob ke ishq mai nhi 
Kagazi dariyo ke, 
Syahi se likhe lekho ke tastre mai
Apne mansoob mai nhi
Par likhne padhne ki bhook mai sahi 
Janti hui, manti huu, 

Alag huu, beshak berang bhi hui, 
Sawalo se tang nhi mai, 
Na achambhit hui
 tumhare hairan hone se 
Par mazhab hi mera
 madhyakal mai kata jaa rha hai 
Ishq naujavaan se hona chahiye tha
Par ab shahanshahon ke dimag se hota jaa rha hai

Comments

Popular Posts