EK LEKHAK AAKHIR SOCHTA KYA HAI?

EK LEKHAK AAKHIR SOCHTA KYA HAI?


Aaj mai nahate nahate soch hi rhi thi ki kya likhna chahiye, aksar , haalki aur kai  martaba . jab mai likhne lagati hui to kuch na kuch likhne ke liye mil hi jata hai. Ham lekhako ka to yahi haal hota hai , jo kahdete hai , sansar uski prashansa ya uski ninda karne mai khambe gaad deta hai  ya khambe ukhadh deta hai. Par sach baat to ye hai ki 100 mai 99 baar mujh jaise lekhak ko maloom hi nhi hota ki ham kyaa likhe aur kitni hi baar ham likhne kuch baithate hai aur likhkar kuch aur khade  ho jate hai. Kitni vichtr jaan padti hogi na, aap sab ko ye baat. Aap sab pathako ki pratikriya hamare  har ek lekh par yuh hoti hai aur aap  kai baar ye samjhne ki bhool kar baithate hai ye sochkar ki ye kahani ye kavita ya ye vichar ham lekhkao ke mann mai kitne samay se jade basae baitha hoga aur aaj na jane kiss murat mai shabdo aur vyakaran ke jaal se mukt hokar ek samooran bahav mai  samudra par se kinare par aa khada hua  hai. Par ye satya kaha ? satya to sirf ye hai ki lekhak bhi aap logo ke jitna ya sach btau to aap logo se zyda pathbrasht maloom hota hai. Ek aadh aise kisse jaroor hote hai jo lekhako ko likhne ke liye prabhavit karte hai aur unki samvednaao ki shamtao ko chunauti de bahar nikal hi jaatein hai , par aksar ham lekhako ko unpar nhi, hamare akasmat ki hui rachnao par hi khambe gade hue milte hai, jo vichar lekhak ki samvednao se jude ho vaha pathak khambe ukhad bahar kar deta hai.

Aur sach to ye hai ki aaj bhi jab mai likhne baithati to kuch na kuch likh hi deti, 3-4 vishay mere mann mai bhi aae par kuch pukhta vichar nhi bane , jo 100 mai se 99 baar bante bhi nhi hai to maine vichar kiya aaj lekhako ke vichar karne ki prakriya ka kacha chittha khol kar  sansar ke samne rakh diya jaae. Ye baat satya hai ki ek lekhak ek nishchit samay ke baad likhe bina nhi rah sakta aur uske andar kuch na kuch likhne ka lahu ubale marne lagta hai par ye baat bhi utni hi sach hai ki use 100 mai se 99 bari kya likhna hi iske bare mai use gyat hi nhi hota. Jo lekhak ek nishchit Vishay par likhkar hi apna vyaktitv ka nirman uske aaspaas kar lete hai jaise ek abhineta matr premi ka kirdar ada karke ya koi dusra abhineta matr maar dhadh ka cinema karke , unki baat alag hai, ho sakta hai unki vo karni ki majbooriya rahi ho. Jaise ki unki usi  prakar ki rachna sansar ko pasand aana ya fir unka usi prakar ki rachna ya uss vichar dhara ke prati adhik samvedna hona par jitna mai samjhti hui. arthik urja se zyda koi aur baat aisi cheezo mai ek rachyita ko bandh kar nhi rakh sakti . antatah , yatharth to yahi hai . meri aisi rachnakartao se koi dushmani hargiz nhi hai aur jeevan ke ek vakt mai kisi ek vichar dhara se prabhavit hone mai kuch galat bhi  nhi nazar aata hai jaise javani mai hi prem ki madhurta zaroorat se zyda mithi aur virah ki peedha zaroorat se zyda kadvi maloom hoti hai pr mera unse ye swal zaroor hai , ki yadi koi rachnakar poore jeevan sirf ek hi vishaya ke bare mai apne vichar byan karta jaa rha hai  usme parangat ya koi opcharik shiksha lene ke begair to unki uss Vishay ke prati  samvedna hone ka karan zaroor batana chahiye aur agar unhe uska koi karan na nazar aae to sawayam se ek swal zaroor karna chahiye ki  mai yahi kyu likhta hui?



Mai shayad un abhishapit lekhako mai se ek hui jiski kisi ek Vishay ke prati koi khas samvedna nhi jaagti chahe vo prem ho ,darshan ho, itihas ho, samaj ki kuritiya , sarkar ki ninda, kavita ho , vyanang  ho , lakshay ki chunautiya hi kyu na ho? Prem ki baat krein to mujhe prem hua ya nhi hua ya aur hone vala hai ya nhi hone vala hai ya ho hi nhi sakta, iski paricharcha ham kabhi aur karenge . par darshan  ki baat kare to mujhe to darshan ki do vichardharae kaafi mazedar aur manorajak maloom hoti hai , usme se ek hai betukapan [absurdism ] aur aashavadi vinashvad[ optimist nihilism ] , mai svayam bhudha ke madhyam marg ko manti hui par mai inn dono vichar dharao ke bare mai adhik janana chahti hui. betukapan  mujhe hamesha prabhit karta rahega , kyuki sachme mujhe jeevan ka arth samjh to aata nhi, aapko aata hai to aap mujhe zaroor batae aur sansar ki lagbhag sabhi batein betuki lagti hai par iss vichar dhara ke sath kuch karna to chodho kuch sochne ka mann bhi nhi karta isliye mai aashavadi vinashvad se kam chalakar kabhi kabhi kuch kuch karliya karti hui, nirashavadi vinashvad manushya se jeevan jeene ki aashae hi cheen leta hai isliye mai betukepan ke sath aashavadi vinashvad ka sahara lekar chalti chali jaati hui, dukhi hoti hui to vyang padhkar apne aapko manorajit kar leti hui , samaj ki gandgiyo ko dekhti hui ya sarkar ke dushkarmo ko to akhbar samet kar rakh deti hui, ubau mahsoos karti hui to kavita path kar leti hui aur lakshay ki chunautiyo se mann ko bhojhil paati hui to kudh likhne baith jati hui .


 To aap jaan hi chuke honge ki mai abhi kyu likh rhi hui , ji yahi sach hai , prerna ke liye , asal mai lekhak hui na isliye kudhmein hi prerna ka strot dundh leti hui  aur jiss din prerna rooth jaae uss din mithi neend ki jhapki leleti hui [lagta hai aaj bhi usi ka ek din hai] 


Comments

  1. To aap jaan hi chuke honge ki mai abhi kyu likh rhi hui , ji yahi sach hai , prerna ke liye , asal mai lekhak hui na isliye kudhmein hi prerna ka strot dundh leti hui aur jiss din prerna rooth jaae uss din mithi neend ki jhapki leleti hui [lagta hai aaj bhi usi ka ek din hai] ..........

    Loved these lines....sabhi ko ander s hi prerna leni chahiye...bahari prerna sirf ek limit tak hi kaam karti h ..lekin agar kuch acha karna chahte h to prerna apne dil, dimag and man s aani chahiye......bhari motivation is a mirage in itself...it boils your blood but as soon as u start going for those dreams this boiling reduces to freezing....

    ReplyDelete
  2. Beautifully written and would love to know more about you! IG? or what

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular Posts