THE AGONY OF AFGHANISTAN [ THE CRIES OF AFGHANI WOMEN] – MY OLD PERSONALISED NOTE

 THE AGONY OF AFGHANISTAN [ THE CRIES OF AFGHANI WOMEN] – MY OLD PERSONALISED NOTE



Kai baar mere sath aisa hota hai ki mujhe tumhe bahut sari baate btani hoti hai aur mera mann karta hai tumhari god mai sir rakhkar rone kaa par mai yakeenan ro nhi pati aur tumhare paas vakt nhi hota. Kal maine Afghanistan ki situation par kuch documentaries dekhi thi aur ye sab mere zahan se nikal hi nhi rha. Vaha ki aurato kaise soti hongi? Kya khati hongi? unki education [taleem] be mukkamal rah jaati hai. Jaise jaise mai badi ho rhi hui , mujhe is duniya ki buraiya rula kar chodh deti hai. Mai apne aap ko bebas aur majboor mahsoos karti hui ki mai unn aurato ke liye kuch kar nhi sakti . 
unhe bacha nhi sakti . agar mere bass mai hota na to mai sachme unnsab ko apne ghar mai rakh leti . itna padh likhkar bhi mai unke liye kuch nhi kar paa rhi . sari duniya unke dukh se wakif hai fir bhi aaj iksvi sadi mai bhi unke sath itna bura suluk hota hai. Maine dekha ek saat sal ki ladki ki shadi ek 80 sal ke mard se karva dete hai uske sautale bhai, chand paiso ke liye aur vo 80 sal ka aadmi uss 7 sal ki ladki ko pregnant karke ladka chahta hai .vo uska rape karta hai use marta hai aur fir uske ilaj ke paise nhi deta aur bhag jata hai aur baadme uske sautale bhai uski shadi kisi aur se karva dete hai aur vo bhi uske sath yahi suluk karta hai aur fir Talibani court us ladki par hi adultery ka case bana dete hai aur use maut ki saza suna dete hai.
Pta nhi bhagvan ka raham o karam tha ya uske dukh poore nhi hue the ki ek aurat nyaydheesh [judge] use bacha leti hai. Par vo jakhm jo usne zindagi bhar khae hai, unka kya hoga? Kaise jeeti hogi vo , kaise uske jaisi hazaro ladkiya roz jeete jee marti hongi uss jail nama desh mai. Ham itne bebas kyu hai, ham kyu nhi kar sakte aise logo ke liye kuch . mujhe bas rona aata hai , mera mann bhar jata hai . mera mann karta hai ki mai aisi ladkiyo , aisi bachio ko gale se laga lu , par ham insan shayad kuch nhi kar sakte . ham mai vo jasba nhi hai aur na hamari pahuch itni badi hai, shayad tu sahi kahta tha ki ham kuch nhi kar sakte aur ye soch kar mera sar fata jata hai, mujhe shayd vo documentaries dekhni hi nhi chahiye thi , par mai vo badnaseeb hui jo sari aisi cheese dekhati hui aur unpar aasun bahane vala dil bhi rakhti hui. Mai kuch nhi kar sakti unke liye kuch nhi . par fir bhi jab mai badi ho jaaugi mai koshish karungi , ways look out karungi , jo india mai afghani aurate hai unse bat karne ki , unke liye kuch rehabilitation centre jo kuch bhi ho, vaha par kam karungi, har source se help pahuch vaaugi, unki bate sunugi , shayad mai unka dukh kabhi khatam to na kar paau but mann zaroor halka kar sakti hui aur shayd aise hi mai unke liye kuch na kuch kar pau .
ha mai bahut bada kuch nhi sakti par kuch to zaroor kar hi skati hui na , ye jasba mujhe hopeless nhi hone deta, mujhe hamesha umeed lagi rahti hai ki mai kuch kar pau , jaise aaj maine padha kai ladkio ka bias khatam ho rha hai, jab mai badi houngi tab bhi aisa kuch hoga, mai aisi states mai unki help kar paau, kisi ki education fund kardu, haa aisi hi ladkio ki education fund karungi mai, apne ghar ke logo ke liye to log sab kuch karte hai , afghani aurato se zyda vulnerable kaun hi hoga? Jo aurate ya ladkiya india mai padhengi aur financially weak hogi unme se kisi ek ladki ki education fund karungi mai . aur in sab par bhi shayad log mujhe kahe ki india valo ki madad karo, karni hai to, par unke dukh ke samne baki sab ka dukh kya hai, uss jaise desh , jiska women education , safety aur women se related har dayre mai mukam sabse neeche hai, unki help karni chaiye, aur desh kya hota hai, jab ham kahte hai vasudev kutumbkam ,to fir sara sansar hi hamara desh hua na , haa isliye maine socha hai ki mai aisi hi ek ladki ki help karungi . par barhale mera man karta hai ki filhal mai ye baate tumse aamne samne kar pati .pta nhi ye itna mushkil kyu hai, jab shuru hua tha to itna mushkil tonhi lagta tha but ye long distance to bad se baddatar hota jaa ha hai , kai baar lagta hai ki tumhe dekhna , tumnse aamne samne bate karna , apna sunana , tumhari sunana bass sapna hi hai aur shayd hai bhi. Par chinta mat karna mai bahut mazboot hui ,mai akele hi roti rahungi zaroor par tutungi nhi , na har manugi , aaj nhi to kal zaroor ye vakt bhi nikal jaaega aur ham dono shayad iss bat par hassa karege but mujhe to abhi bhi ye lagta hai ki iss dil ke hote hue to mai tumhare pas hote hue bhi ye vakt yad karke rone lagungi .
Leeza


Comments

Popular Posts