PREM KA PRAPANCH

PREM KA PRAPANCH




Kya anutha sa tha prem tumhara
Sahuliyto ka firta tha mara mara
Jab mann aaya tab mujhe apnaya
Ghar band kar , mujhe door kiwaro par prateeksha ka mohra banaya
Kaha prem hai , par nikla matr prapanch
Socha gya mere bare mai , ki kya mai unn parivarik auchitya ke dhanche mai dhal paaugi?
Vakt bitaya , dil bahlaya , prem ko aadambar sa odha , 
Uttar nikla  jab ‘na’ , ant mai prem bana behas ka katghara ,
ant main mara ek hathoda , zor ka , ghav diya ,
aur nishchitata ka dhaga , anishchit karke chodh diya ,
par vakt diya , taras khaya , prem ko khoob badnam kiya ,
na sacha rha sach , na jhooth rha jhooth ,
jo bola uska arth raha tum tak , mishri sa bola, zehar sa gunja ,
prem kiya , maine tumse prem kiya likhkar ,aakhiri mafinama mujh tak bhijhvaya,
Anurag ka dhong kiya , ragini ka sailab siya ,
Vairagya ki avchetna se dara , tujhsa darpok na aajtak mujhse koi takraya/nazar aaya
Virah mileh , mileh kalah, mileh na prem , mileh na sneh,
Nafrat mile , mile viyog ,mileh na Preeti , mileh na sanyog
Rasta mile , mileh na manzil, mileh na tujhsa , mileh na tu ,
Fan mile , mileh na vakt , mileh maulikta , mile na pakhand ,
Vyatha mile , mile na chand lamho ka sukh,
mileh tanhai ,mileh na koi anshuman asthayi,
Na tumsa mile , na tum milo, na mile tumhara chodha hua ,
Kuch na mile , chahe , akelapan mila , par mile samsast ,
Sampooran mile, fir chahe ye sansar mile , ya mile sirf santosh , mukkammal  mile , na mileh adhoora, 
Maryadao se par , chahe mumuli mile , par marte dam tak mile .
Prem mile to prem se mile,  na mile samaji samanjasya, 
na mileh to drishtikon mile, tazurba mile, nazariye mila, na mile to chahe koi na mile, 
Par mile to falsafa mile , falsafe mai lipta farishta mile,
 ant mai mile, ya mile maut ke bad, 
Jab bhi mile, Maulik mile, mile mustakil, antarik sthayi ahsas. 

Leeza 

Comments

Post a Comment

Popular Posts