Ek Baat jo sabko Padhne ki zaroorat hai
Ek Baat jo sabko Padhne ki zaroorat hai , right now (not a poem)
Aaj ham sab uss daur se guzar rhe hai shayad jo na to hamare buzurgo ne dekha hoga, aur na shaayad kabhi hamare bache dekhenga. Iss vakt duniya mai bahut zyda udaasi chhaai hui hai, rone ke liye Hazaar ya shayad usase bhi zyda cheeze maujood hai, par fir bhi aap sabke din mai ek to aisi cheez hoti hogi jisase aapke chehre par muskan aati hogi .
Agar aisa nahi bhi hai to sochiye vo kaunsi cheez hai jo sachme aapko khushi deti hai aur usko apna time dijiye. Physical health ke Saath apni mental health par bhi dhyan dijiye. apne dusto, apne rishtedaaro se Baat karte rahiye. Har Waqt ki tarah ye Waqt bhi chala jayega, bas zaroorat hai thoda aur patience, sabar aur himmat ki. Ham aaj nhi to kal apne kaamo mai lag jaaege aur zindagi fir vaisi hi ho jaayegi, par abhi ke liye ye yaad rakhna zaroori hai ki ham apne aaspaas rahne vale aur Khaas logo ke Saath pyaar se rahe.vo kaam kare jo sachme hame khushi de, apna time achi Cheeze Padhne aur sunane mai lagae aur Yaad rakhe.
Ki........
"Kitne bhi shaitan kyu na jaag jaae,
Insan ka sabar aur samjh dari sabko sulane ke kabil hoti hai."
Shukriya :)
(poora Padhne ke liye)
Comments
Post a Comment