Vakt ka paigam
Vakt ka paigam
1)bhool gaye hai ham un galiyo ko bhi,
Jaha hame andhera bhi ujala sa lagta tha .
2) samay nhi badal raha,
Ya mai vaha par ataki hui?
3)ek baar mere kalam ne kagaz par likhna chaha,
Besud hokar tumhara naam.
Par syahi hi ussi samay tham gyi,
Chalo jaise mere dil ko dimag sambhal leta hai,
Mere kalam ko syahi ne sambhal liya.
4)aksar nhi rojana tumhe yaad karti hui,
Rokar nhi haskar tumhe bhulne ki koshish karti hui.
Hadd mai nhi bepanah tum se mohabbat ki thi,
To vajah dhoondhkar nhi , bevajah hi kone mai aksar kudhse sawal karti hui.
5)ye sham Bhi beet jaaegi,
Raat bhi aur gahri ho jaaegi.
Tum bhi mere ho jaaoge,
Par fir bhi mai ussi ko chahugi.
6) haseen khawab,
Dilkash andaz,
Nam palke,
Aur adhoora ahsaas,
Gam ka payala,
Pyar ki aas,
Yaakeen maaniye,
Fir bewafai ki nikali hai aaj baraat...
Leeza
Comments
Post a Comment