Subah ka chand
subah ka chand(shayari)
1)Sabar bhi aajaega,
Itminaan bhi aajaaega.
Tum mere bankar to dekho,
Tum mai tumhara aap bhi vapas aajjaaega.
2)Kashish bhi tumhari,
Kashmakash bhi tumhari.
Kirdare bhi tumhare,
Aur Karigar bhi tum.
3)Meri masoomiyat ko meri kamzori samjhne vaale,
Mere apne pan ko Meri bevkoofi samjhane vaale.
Meri mohabbat ko mera pagalpan samjhane vaale,
Ye Jaan lo jin manzilo par aaj tum aabbadd ho,
Uska malba bhi mere marzi se uss Mahal par thamta hai...
Aaj sir hila du ..
To bikhar jaaega.
Par tum kya yaad rakhoge,
Ishq kiya hai sacha,
To bikharne mai jo maza hai,
Vo simatne mai nhi.
Bigdne mai jo maza hai,
Vo banane mai nhi.
Tumharee hone ki chah mai jo maza hai,
Vo shayad tumahare aks mai nhi.
ISliye Tumhein khone mai jo maza hai,
Vo tumhe paane mai nhi.
4)ek sawaaaallll hai iss samaj se,
Aap hame vo sabak kyu padhate hai,
Jispar amal karne ki saza milti hai?
5)ek baar mere dimag ne dil se poocha,
Tum kahna kya chahte ho?
Tab dil ne jawab diya,
Kahta to mai hamesha se huu,
Par kya tum vo sunanna bhi chahte ho?
Leeza
Comments
Post a Comment