Sarfira pyaar

 Chalo aaj mai bhi bol deti hui


Raat ghahri ho rhi hai aur Andheri bhi,

Kuch karne ka man nhi hai,

Na kuch likhne ka

Ek bhekhyali si chha gyi hai,

Kitna mushkil hai na soch pana ki tumhare liye sahi kaun hai aur tumhare liye Galt kaun hai?

Matlab kyu?

Par shayad main pahli nhi hui,

Na mai aakhiri hui

Par samajhne ki zaroorat hai aur sawal karne ki bhi zaroorat hai

Ki ye kudarat ka kaayda hai ya kudarat ka hamse vo lene vala jaayza,

Jisme hame anek intihano se guzar diya diya jata hai aur hamse fir se poocha jata hai ki ab batao kaisi lagi meri ftirat? 


Har deewana apni mahbooba se sone se pahle ek hi Baat kahta hai ki suno, 

mai tumse bahut mohabbat karta hu,

Par mera sawal bas itna hai ki uss mohabbat ka mai kya karu jisme meri izzat na ho,

Uss mohabbat ka mai kya karu jisme us deewane ka hi moh chupa ho,

Uss mohabbat ka mai kya karu jo meri jaisi mahbooba ko koi apnayiyat na dekar bss deewane ki hokar rah jaati hai,

Vo deewana har raat mahbooba ka alag tareeke se dil dukhata hai,

Kabhi vade na poore karke to kabhi aisi baate karke jo uske massom se dil ko aur chot pahucha deti hai,

Vo bechari apne aankho se Aanson rokti hai aur sunti jaati hai,

aur fir uska aur bat karne ka man nhi karta, 

to fir agle din vo deewana chalu ho jata hai, 

aur kahta hai ki mujhe maaf kardo

Aage se aisa nahi hoga

Par fir Mera ek hi sawal hai

Aage se nhi hoga to peeche se hoga kya

Fir se nhi hoga to fir ab tak kyu hi hua? 


 Par shayad ye Saari bhi bachkani bate hai,

Kyuki aise deewane aisi mohatarmao ko ye begane gaane yuhi roz sunate hai,

Kisi Ko kisi se mohabbat nhi hoti

Sabka apna hi kudhka moh hota hai,

Ye sach hai ki deewana kah rha hai ki vah apni mahbooba se bahut mohabbat karta hai, 

Par sach ye bhi hai

Ki deewana apni mohabooba se isliye pyaar karta hai

Kyuki vo use kushi deti hai

Par kya deewane ne kabhi ye socha hai ki uski mahbooba ko kya kushi deta hai? 

Kya pyaar apni kushi ke baare mai hai ya dusre ki khushi ke baare mai,

Kya mohabbat apne moh ke baare mai hai ya Saare moh apni mahboob ke naam likh dene ke baare main,

Ye sarfeera pyaar hai! 

Isspar dikhhar hai! 

Ye pyaar nhi hai

Mujhe kagaz, Kalam, meethe vaado aur Jasbaati yaadon ka Pyaar nhi chahiye janab

Agar dena hai to izzat ka Pyaar do, jo mujhe tumhari mohabbat se bheega de

Par innn jaise deewano ke paas aisa pyaar kaha hi milega? 


Par fir agali subah hoti hai.

 Aur vahi kahani fir se shuru hoti hai 

Pahle vo deewana fir se apni mahnooba ka dil dukha deta hai, 

aur vo fir usase baaat nhi karti aur fir vo usase kahta hai 

Ki mai tumse bahut pyaar karta huu 

Aur fir vo bholi si mahnooba apne masoom se dil ko lekar uski bahon mai fir se sama jati hai, 

Aur iss tarah fir se iss sarfire pyaar ki jeet ho jaati hai 


Dikhar hai mujhe iss pyaar par, 

Agar ye pyaar hai to mujhe nhi chahiye aisa anhona pyaar 

Mai intazar, izhar, Galani aur bahut si nakaratmak bhavo ke sahare apna jeewan katne ke liye tayar hui 

Ho sakta hai vo vayarth ho jae par kam se kam aisi jagah vayarth hoga jaha mai vyast rahungi, 

Mera masoom sa dil baar baar chot nhi khayega 

Meri dhadkan ek aise deewane ke liye dhak dhak nhi karegi jo mere liye nhi, 

Sirf apne moh ke liye mujhse mohabbat karta hai! 



Shukriya

Comments

Popular Posts