albatta

albatta

mai chali thi thandi aarzo ko,
garam jeb mai rakhkar,
par kambhakt ab aarzo aur thand,
dono jeb se gayab hai, 

jeb fat chuki thi,
par barhale vahi kasi Hui thi,
aarzo udd chuki thi,
par thandi hawa bhi uski gandh rok na saki.
albatta, vo vahi kahi thi

mai chali thi garam chae ko,
thande hatho mai pakadkar,
par is sardi mai na to chae garam rahi
na hath garam hue.

aur jab chae thandi ho 
to vo  chae kaisi?
aur jab hath garam na ho?
to fir dusri mulakat kaisi?
alabatta, thand jam chuki thi
mai chali thi khali sadko par khuli khaishe lekar,
aur nam aankho mai chupi chahte lekar
par vo sadke ab khali na rhi
aur vo chahte ab chup kaha rhi? 

aur jab sadke khali na ho to,
khaishe kaise udan bhare?
aur jab chahate chup na ho,
to nam aankhe kaise samvad kare?
albatta, sadke sikud chuki thi
albatta, khaishe mar chuki thi

mai chali thi thake shareer mai Jan bharkar,
aur band almari mai saman bharkar,
par ab na shareer thaka rha ,
aur na almari band rhi.

shareer mai thakan na ho?
to bharne ko kya rahjata hai?
almari mai saman na ho?
to band karne ko kya rah jata hai?
albatta, mera saman bhi vahi rahgya  
albatta, mera shareer bhi vahi sama gya

mai chali thi maut ko apna dost banane,
aur rakh ko apna kalam, 
par na maut ne mera sath diya,
Aur na rakh ne mujhe hath diya. 

maut dost na ho?
to jeene mai kya maza?
rakh kalam na ho?
to kaun likhe bewajah?
albatta, maine maut ko gale laga liya
albatta, maine rakh ko apna kafan bana liya!

albatta

Comments

Popular Posts