kaun hui mai
Kaun hui mai
Kaun hui mai
Shareer ya pran
Shareer hai to hai kya? Rog ya sanyog?
Ya prano mai jakda ek adhmra prayog
Kya hai meri puratan katha
Kya mai hi hui isi ka kathanak
Hui kuan mai?
Mahaveer ke anveshan mai
Mrig ki kasturi pyaas huu
Ya van van bhatak rha
Savyam hi ke vachno ka das hui
Kaun hui mai?
Dashrath ka rudan vilap huu
Ya bharat ka atihasik milap huu
Ya maya janjal ko aabhushanon ki bhati grahan kar chuka
Kakaiyi ka santap hui?
Ya kaushalya ki badnaseeb santan hui?
Kaun hui mai?
Yashomati ka ladla hui?
Ya nand ka tiraskar huu?
Radha ka ikrar huu ya
Kans ka ahankar hui.
Ya kanhaiya ka hi koi bichda yar hui
Kaun hui mai
Vishnu ka avatar hui?
Ya lakshmi ka dhan ka vyapar hui
Shiv ka gaurav huu
Ya sati ke aarmadah ka kriyakalap hui
Ganesh ke modak sa milansar hui
Ya kartikyaya ke vijay ka hathiyar huu
Kaun hui mai?
Duryodhan ka gurur huu
Ya abhimanyu ke sar ka fitoor hui
Ya savyam ko hani pahuchata
Karan sa majboor huu
Kaun hui mai?
Durvasa ka shrap hui ,
Ya Shakuntala ka dushaynth ke prati aabhar hui .
Kaun hui mai?
Shani ka prakop hui ya
indra ka pralobh hui
Ya raudra shiv ke charano mai
Kamdev ka vilop hui.
Kaun hui mai?
Eklavya ke sath hua pakshpat hui
Ya dronacharya ki bemani se bezar hui,
Kaun hui mai?
Sukrat ka darshan hui
Ya vedvyas ka lekhan hui
Menka ka aakrashad huu
Ya sheer sagar ke manthan mai sur asuro ka gharakshan huu
Kaun hui mai?
Abhimanyu ka prakram hui,
Ya shravan kumar sa shashvat hui ,
Kaun hui mai?
Geeta ka sar hui
ya mahabharat ka mahasanghar hui
Kali ka rosh hui
Ya thokre khati ahilya ka udhar hui.
Kaun huu mai
Nachiket sa jigyasu hui,
Ya shishupal sa papi hui,
Kaun hui mai?
Savitri ka upvas hui
Ya nard ka parihas hui
Vedvyas sa pratapi hui,
Ya ganesh sa sanchalak hui,
Kaun hui mai?
Ya maury ki shaury gatha ka bhakhan karta
Chandragupta ka atihasic itihas hui
Kaun hui mai
Meera ki ekaki hui ya
Kabeer ki bebaki hui
Ya fir hath pr ada
Prahlad ki gustakhi hui
Kaun hui mai?
Dashrath ka vachan hui,
ya pandavo ka Vaibhav hui,
kaun hui mai?
Uttara ki garbh hui ,
ya kesari nandan ka Sankalp hui
kaun hui mai ?
Lakshman sa aagyaakari hui,
Ya kauravo sa vyapari hui,
Kaun hui mai?
Arjun sa dhanurdhai hui,
Ya shri krishan sa hitkari hui,
Kaun hui mai?
Chanakya sa rajnitigya hui ,
Ya duryodhan sa pathbrasht hui,
Kaun hui?
Lahu ki tapish hui
Ya jamane ki sajish hui
Ya pal pal badalta
Insan ka mastiksh hui
Kaun hui mai
Jangal ki aag huu
Ya chandrama ka dag hui
Ya aankho se chalakta
Tansen ka rag huu
Kaun hui mai
Ravan ka atank hui ya
Soopnakha ka prapanch hui
Vibheeshan ka lanka vibhakti ka sankalp hui
Ya kumbhakaran ki chah mas ki nidra ka aakhiri ansh hui
Kaun hui mai
Ashok ka dharam hui
Ya akbar ka samaveshi satambh hui
Manu ki smriti hui
Ya maryada purushotam ki abhivyakti hui
Kaun hui mai
Kaun huu mai ya koi nhi
Kuch to hui mai par kuch bhi nhi
Kalam bhi hui mai aur shyad kagaz bhi
Kasab bhi hui mai aur shyad koshish bhi
Kangal bhi hui mai aur shayad kabil bhi
Ha shayd maksad nhi hui mai par safar to huu
Ha tumhara aaj nhi huu shayad
Par tumhara kal to huu
Nhi vaastavikta nhi hui mai
Par bharam to hui
Muskan nhi huu mai
Par tumhara ruyasa to hui
Vidwan nhi hui mai
Par gawar to hui
Sayahi nhi hui mai
Par shabad to hui
Ha tumhari premika nhi hui mai
Par samaj mai tumhari pratishtha to hui
Haa kali hi sahi par vastavikta to hui
💯💯
ReplyDeleteGreat 🙌
ReplyDelete❤️
ReplyDeleteAapko sadar pranam kafi achhi prastuti hai aapki 🙏🙏❤️
ReplyDeleteek do line mujhe thodi samajh nahi aayi kripa karke margdarsan kare🙏🙏 :
Kasab bhi hui mai aur shyad koshish bhi
Kangal bhi hui mai aur shayad kabil bhi