DEEN YA DUNIYA?
DEEN YA DUNIYA?
Insan, aisi shakhsiyat hai jise apne aaram, apne sukoon, apni kamyabi aur apni khushamadi ke alava kisi ki parvah nhi hoti. Jo banda hota hai, use sirf iss baat ka ilm hota hai ki usne kya karna hai, usne kya pahnana odhana hai, usne kaise tarakki hasil karni hai, ya usne kaise apni mahbooba ko manana hai. Bande ke mann mai khak hi ye aata hai ki kabhi parvardigar, jisne use iss duniya jahan ki sari mukammal hasraten di hai, use bhi salam kare, kabhi apni gunaho ya gustakhio ke baad use bhi jakar manae. Jo upar vala hota hai na uska dil bahut bada hota hai, vo sabse mohabbat karta hai, uske bina ham bande anath , bij baap hai, vo hamra bada hai, buzurg hai, ham pr raham o karam farmane vala hai par, par jane anjane ham na jaane kitni hi baar uska dil dukha dete hai aur sharam ki bat to ye hai ki ham use manate bhi nhi hai. Ham agar use ek bar bhi kahde to vo shayad man jaae, par aajkal bando ke paas jaise apne bap ke liye do lamha nhi hai vaise hi hamare paas hamare upar nahmat farmane vale ke liye vakt chhodo , hame to ilm hi nhi hai.
Bhag daud bhari zindagi ka nam dekar apne apni aazmaisho se chupate hai, jab hame koi hamare gunha ginvae to aksar ham ye jumla farma dete hai. Par janab, ke paas hamesha apni tareefe sunane ke liye vakt nikal aata hai. Kya vo vakt bhag daud bhari zindagi ki bhag daud adhik bhadha nhi deta, jahiz hai bhadha hi deta hai par zindagi mai iss karan bhag daud ho to kisko shikva hogi kya bhala? shikva hame sirf uss parvardigar se hoti hai jiske pas do lamha baithne ka hamre pas vakt nhi hai. par chah ho to, ishvar ko to mandir, masjid, dargah, rah, satah, kahi bhi yaad kiya ja sakta hai, par kya kare banda bahut mashroof hai, aur usko banane vale uski sunane ke liye nihayati farik baitha rahta hai, aksar ham aisa hi sochte hai.
Hame lagta hai,usko hamari zaroorat hai, ham ye nhi jante ki sabki zarooorato ko poora karne vale ko aakhir kiski zaroorat ho sakti hai? par filhal zaroori ye janana aur ilm karna hai ki khudha, ishvar, bhagvan, ya koi bhi dharam ka niramta , jis dharam ko aap mante hai, usko yad karne ki , ya usase dua mangne se, ya usase bat karne mai, aap kamzor nhi bahut mazboot ho jate hai, jisko upar vale par yakeen hota hai na, vo sansar mai kisi se nhi darta. Jo ye manta hai ki upar vala sari balae hataega vo balao ko bhi par karjata hai aur karta jata hai, usase dua karte hue, vo uska sath deta hai, rastan aasan karta hai, numainshe kam karta hai. Vo use duniya dari se door aur apne deen ke paas pahuchata hai, aur jo deen ke pass hai, vo apne aap se judav mahsoos karke kal ko poori duniya bhi fatah karle na, to bhi usme vo takubbar nhi aata, kyuki vo manta hai ki jo bhi uske pass hai vo upar vale ka diya hai aur kal ko kuch bhi ho sakta hai.... Apne deen , apne aap aur apne parvardigar se juda hua banda, banda nhi insan kahlata hai aur vo insan poori duniya mai nam kamata hai, apni shauharat se nhi, par apni neknami aur apni nafapeshi se, jo jaroori aur jayaz malom Hote hai aur bande ko bamukkaml hi nhi balki apne mai badfanah kar leta hai. Jise na mazi ke mushkil satati hai na kal ko hone vali maut ka sitam, kyuki kayamat ke din sab sansar roopi kaid se aazad hokar uske samne apne parcha lekar khade honge hi, koi badmashi ka , koi namukammali ka, koi nafa ka, koi nafas ka, aur koi neknami ka. Fir ham bando ko banane vala aitiyat se sabka parcha padhkar , kisi ko fir duniyadaari mai dhakel dega to kisi ko usake rahmo karam par usase rahat(mukti) dega.
Janaze yuhi nikalalte rahenge, par kuch bande kabhi nhi marenge, aur kuch bina janazo ke bhi har lamha, bin maut marenge. Farak yahi rahega kisi ko duniya mai bhi deen naseeb hoga, kisi ko maut ke bad deen mai bhi duniya hi dikhega, yahi farak barkarar rage, kabhi behtari ke liye, kabhi barhali ke liye to kabhi barbadi ke liye.
Leeza sharma

Comments
Post a Comment