INTIZAR KAR RHE, IQTIDAR AB MERE

Intizar kar rhe, kayde mere ab mere sad rhe
Intizar aag hai, jasba Mera ab khak hai
Vakt ko barbad kiye, be vakti se kudh ko aabad kiye
Intizar kar rhe, iqtidar ab mere

Dekh tu mujhe yaha, har gunha kar ansuna 
Kamli Mera jee Hua, kalam badh har siyasi Hua
Noor sa ye Jahan, ab lage tanha tanha
Shahnshah gaddi Hua, mulazim Matti hua 

Intizar kar rhe, intiminan ab kyu kare?
Karkhane jal rhe, mazdoor bhi bigad rhe
Falsafe nakam kiye, farmane manzar ka anzam diye
Intizar kar rhe, iqtidar ab mere

Chahate ab zard hai, mumalik ab na mujhpar koi fard hai
Kaid hi Mera ghar hai, aazadi se mujhe ab darr hai
Kab talak mai chalu, chal chalu khair mai. 

Pashchim mujhe awwaz de, pukar le, fir chahe marde 
Purab mujhe udhar de, hath de ya sath de
Aarzu ko tang ke, ajnabi chalsaz kiye
Intizar kar rhe, iqtidar ab mere. 

Ubal hai malal hai ye itvar ka sal hai
Uchal hai kya hal hai umeed rakhna har hai
Half ko harf de, harf ko tu de hara
Hara de tu intizar ko, iqtir ko tu de jeeta

Kaayda tu tod de, saltanat hi chodh de
Hath ka ye mail hai, ibtida hi jail hai
Kar guzar, ya guzar de
Zindagi ko aaine mai utar de
Intizar kar rhe, iqtidar ab mere 

Iqtifaq na rhe, tu Mera har dafa rhe 
Dastan mai dua rhe, tu Mera gwah rhe 
Ishq kar ya na kar, intizar tanha kar
Darsal tu bass wafa kar, safar Mera tu na tabah kar. 

Jane de, ab Jane de, mujhe uttar ki Orr Jane de 
Kheech mat, thamle, Daskshid mujhe veerane de 
Kuch nye deewane de, unn deewano ko mastane de
Parvane de, Dastane de, par ab mujhe pachtane de

Iqtidar ab mere, intizar kar rhe 
Kar rhe kyu intizar ? 
Chahte hai kyu izahar? 
Ishq ko arsa Hua, mai mara, fir zinda Hua. 

Fann Mera, farzi Hua
Falsafa, fitrat hua
Ishq ke intizar mai, iqtidar ki har mai, 
Intizar kar rhe, iqtidar ab mere. 









Leeza




Comments

Popular Posts