Aapko kya khushi deta hai?
Aapko kya kushi deta hai?/what makes you happy?
It's different ,its dependent, although it's reflex...
Filhal mai khana kha rhi thi, aur vo mujhe aur mere bhukhe pet ko khushi de rha tha.
Shaam mai jab mai bahar garmi se aai to ac ki thandi hava meri kushi ka karan bana.kabhi wrkout karna kushi deta hai to kabhi dosto se baat karna.kabhi mummy se batiyana to kabhi Nani ke ghar jana.kabhi achi neend aane ke baad sukoon milta hai, to kabhi fone par apne favourite teacher( Mc Mehta sir)se baat karna khushi deta hai.kabhi kisi ki madad karna kushi deta hai to kabhi chhat par baithkar sitaron Ko ghoorne mai maza ata hai.kabhi koi kitab padhna kushi deta hai to kabhi koi poem likhna .kabhi gana gana kushi deta hai to kabhi kisi ka gana sunana kushi deta hai.kabhi Manasvi ko apne dil ki saari kahdena aur ghanto ghanto vale poetic discussion karna kushi deta hai to kabhi vikrant ko vc par tang karna kushi deta hai.kabhi akela rahna kushi deta hai ,to kabhi sabke saath rahna bhi kushi de jata hai.kai baar ache kapde khreedhkar unhe pahnana kushi deta hai to kabhi t-shirt or trousers mai bistar par letkar Netflix chalana bhi kushi de jata hai.kabhi diet karna Kushi deta hai,to kabhi pizza khana.kabhi class mai padhna kushi deta hain, to kabhi class ko chalta chodhkar so jaana, ya fone scroll karna kushi deta hai.
Jaise kabhi ham kush hokar muskura dete hai to kabhi ham Bahut kush hokar ro dete hai .
"Jasbaat vahi,par halat kuch aur hai,
Ahsasat vahi hai,par alfas kuch aur hai,
Muskan vahi hai, par aaj karan kuch aur hai,
Ruh vahi hai, par aaj nakab kuch aur hai."
Isliye aaj nhi to kal kuch na kuch tumhe kushi zaroor dega...vo nhi to dusra, ye nhi to koi aur ,vafa nhi to daga, ishq nhi to izzat...jaise ki
"Andhere ke saath sitar tumhe kush rakhenge,
Barish ke baad, indradhanush ke nazare tumhe kush rakhenge.
Aaj ke gam ke baad, kal ke kiye gye vaade tumhe kush rakhenge,
Mere baad,mere baad aane vale bhi tumhe kush rakhenge."
Leeza
Comments
Post a Comment