Mashree se kahi door

 Maashree se kahi door


1)Bewaqt badalo se takarakar,

Tum jaise meri ho jaya karti thi,

Un Shamo ke shamyane mai ,

Jaise tum mujhe kabhi uljhaya karti thi,

Vaise ek baar to vapas aakar kar diya karo kabhi,

Jaise pyaase ki pyaas tum apni adao se bhujaya karti thi


 2)Galatfahmi nhi hai ye meri,

Mohabbat ke tavur mai mashra bekadar nikala,

Daga ki thi jo tumne,

Use hasil karke bhi ye Diwana besabar nikala.


3)Yuh mere hokar,

Tum mere hi bane raha karo,

Kyuki banawat to tumne seekhli hai unn ajnabiyo se,

Jo kisi ke bhi nhi hote,

Par fir bhi sabke bane rahte hai,

Ab tumame aur unme farak nhi rah gya hai zyda,

Vo hote hi nhi hai ,aur tum ho to tumhara hona bhi hai aadha.


 4)Tu koi iktafaq to nahi,

Jo mashere ke gunaho ki gardan bankar mere sine mai Aa bas gya.

Tu koi aisa halaat bhi nahi,

Jo mera hote hote kisi aur ko apne bana kar tham gya.


5)In rumani baaton mai kya rakha hai,

Tum thaharkar halat to dekho,

In jismani khwaabon mai kya rakha hai,

Tum thakkar Jasbaat to dekho.


6)Zamane ki dhool hi sahi,

Dhool bhi Mai Sachi hui.

In bekadaro ke alaam mai,

Fizool hi mai achi hui.


 7)Tanhai ka gam aur apne Yaar Ki baaten,

Ikathe Yaad bhi aati hai aur aur tanha bhi karte jaati hai.

Jaise foolo ki mahak aur bhavro ka samah,

Ikathe Saath bhi gaati hai aur aur gaate gaate fir iss maashre ki hokar rah jaati hai.


8)Mai unn hawaon mein hui

Jo aajkal tere paas se guzar ke bikhar jaya karti hai.

Mai un fizaon Mai huu,

Jo har tareeke se tera hona chahti hai.


Leeza

Comments

Popular Posts