kafan e kissa

kafan-e-kissa 

darindo ki duniya mai, 
maukhote kitne badloge?
aadhi khaaisho mai, 
kaagzat kitne paltoge?
vikreta ho bachpan se,
to kya manobhav bhi bech aae?
bechna to tumhara sarvajinik lakshan hai,
par ungeenat dam ke desh mai tum raste mai kya geente aae?


vyakul ho kalyug se,
vichardhara hi vivechak hai,
par vargikrit vyavsay mai,
tum adhoore se bikhre kyu aae?
char diwari mai,
 tumne betabi ke kya dhol bajae,
ki dhake nakab ke peeche,
kafan ke murde bhi sakpakae, 

janti Hui tumhara tmasha mai,
janti Hui tumhe pora sa aadha mai,
janti Hui itna kareeb se,
ki tumhare deewanepan ke parchman maine hi to hai fahraye,
dhool se dhoop tak,
sir mai se syah ho gya,
kadardan ka kafan,
aaj lahu se laprvah ho gya, 

kash aur kasab dono ko irada hogya,
ki mulkat aadhi hi sahi, 
par unkahi bhi kah sa jati hai,
shantraj mai shiksat ke bad bhi,
hunermandi din barhale badhti nazar aati hai,
mashuka chahti kuch aur hai,
aur kah kuch aur hi jaati hai,
kafan aksar kala hi hota hai,
par libaz par dhabbe Lal chodh jati hai.



Comments

Popular Posts